% \startsong \stitle{merii saa.Nso.n me.n basaa hai ... terii yaad hamasafar}% \film{Aur Pyaar Ho Gayaa}% \year{1997}% \starring{Bobby, Aishwarya, Anupam, Shammi Kapoor, Shammi, Priya Tendulkar}% \singer{Udit Narayan}% \music{Nushrat Fateh Ali Khan}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % merii saa.Nso.n me.n basaa hai teraa hii ik naam terii yaad hamasafar subah\-o\-shaam tuu mere din me.n raato.n me.n Kaamoshii me.n baato.n me.n baadal ke haatho.n me.n bhejuu.n tujhako ye payaam terii yaad hamasafar \threedots aa.Nkho.n me.n tasviir hai jaise tuu merii taqadiir hai jaise us dil se is dil tak aatii dha.Dakan kii za.njiir hai jaise khvaabo.n khvaabo.n tuu mile naa jaane kyaa hai.n silasile palako.n par ye pyaar ke naa jaane kitane gul khile tere khvaab sajaate rahanaa ab hai meraa kaam terii yaad hamasafar \threedots phuulo.n par shabanam kii namii hai ra.ngo.n kii mahafil sii jamii hai.n maism bhii ma.nzar bhii hai kahate hai.n bas terii kamii hai baago.n me.n jo ham mile.n to gaaye.n saarii koyale.n mahake saaraa ye samaa.n havaa_e.n mahakii sii chale.n terii khushbuu se bhar jaa_e kaliyo.n ke jaam terii yaad hamasafar \threedots % #endindian \endsong