% \startsong \stitle{har tarah ke jazbaat kaa ailaan hai.n aa.Nkhe.n}% \film{Aankhen}% \year{1968}% \starring{Mala Sinha, Dharmendra}% \singer{Rafi}% \music{Ravi}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10671 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % har tarah ke jazbaat kaa ailaan hai.n aa.Nkhe.n shabanam kabhii sholaa kabhii tuufaan hai.n aa.Nkhe.n aa.Nkho.n se ba.Dii ko_ii taraazuu nahii.n hotii \-2 tulataa hai bashar jisame.n vo miijaan hai.n aa.Nkhe.n har tarah ke jazbaat \threedots % bashar: man aa.Nkhe.n hii milaatii hai.n zamaane me.n dilo.n ko \-2 anajaan hai.n ham\-tum agar anajaan hai.n aa.Nkhe.n har tarah ke jazbaat \threedots lab kuchh bhii kahe.n isase haqiiqat nahii.n khulatii inasaan ke sach\-jhuuTh kii pahachaan hai.n aa.Nkhe.n har tarah ke jazbaat \threedots aa.Nkhe.n na jhuke.n terii kisii Gair ke aage \-2 duniyaa me.n ba.Dii chiiz merii jaan hai.n aa.Nkhe.n har tarah ke jazbaat \threedots us mulq kii sarahad ko ko_ii chhuu nahii.n sakataa \-2 jis mulq kii sarahad kii nigehabaan hai.n aa.Nkhe.n har tarah ke jazbaat \threedots % #endindian \endsong