% \startsong \stitle{vo ham na the vo tum na the vo rahaguzar thii pyaar kii}% \film{Cha Cha Cha}% \year{1964}% \starring{Chandrasekhar, Helen}% \singer{Rafi}% \music{Iqbal Qureshi}% \lyrics{Neeraj}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Credits: U.V. Ravindra, Anand Srinivasan % Comments: Rafi Veritable Gems % \printtitle #indian % ( vo ham na the vo tum na the ) \-2 vo rahaguzar thii pyaar kii luTii jahaa.N pe bevajah ( paalakii bahaar kii ) \-2 vo ham na the \threedots ( ye khel thaa nasiib kaa ) \-2 na ha.Ns sake na ro sake na tuur par pahu.Nch sake na daar par hii so sake kahaanii kisase ye kahe.n cha.Dhaav kii utaar kii luTii jahaa.N pe \threedots % daar: gallows, suulii, hanging station tumhii.n the mere rahanumaa tumhii.n the mere hamasafar tumhii.n the merii roshanii tumhii.n ne mujhako ( dii nazar ) \-2 ( binaa tumhaare zindagii ) \-2 shamaa hai ik mazaar kii luTii jahaa.N pe \threedots ( ye kaun saa muqaam hai ) \-2 falak nahii.n zamii.n nahii.n ke shab nahii.n sahar nahii.n ke Gam nahii.n Kushii nahii.n kahaa.N ye leke aa ga_ii havaa tere dayaar kii luTii jahaa.N pe \threedots guzar rahii hai tumape kyaa banaake hamako dar\-ba\-dar ye soch ke udaas huu.N ye soch kar hai ( chashm tar ) \-2 ( na choT hai ye phuul kii )-2 na hai Kalish ye Kaar kii luTii jahaa.N pe \threedots % #endindian \endsong