% \startsong \stitle{shabanam kyuu.N niir bahaaye}% \film{Ishara}% \year{1943}% \starring{Prithviraj, Swarnlata, Suraiyya, Satish, Jagdish}% \singer{Gauhar Sultaana}% \music{Khurshid Anwar}% \lyrics{D N Madhok}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11350 [V S Rawat] % % Credits: This lyrics were printed in Listeners' Bulletin Vol #120 under Geetanjali #110 % \printtitle #indian % shabanam kyuu.N niir bahaaye \-2 duniyaa soye aur ye roye jaaye shabanam kyuu.N niir bahaaye jaise niradhan ke rone par \-2 ha.Nsate hai.n dhanavaan vaise shabanam ke rone par \-2 kaliyo.n kii musakaan shabanam roye kaliyo.n kaa mu.Nh dhoye ( apanii jaan ga.Nvaa kar pagalii jag me.n phuul khilaaye ) \-2 shabanam kyuu.N niir bahaaye \-2 muurakh hai.n jo chaar gha.Dii ke \-2 jiiwan par itaraate hai.n ha.nsate phuulo.n ko dekho jo \-2 khilate hii murajhaate hai.n shabanam roye muurakh gaafil soye ( ro\-ro ke shabanam is jhuuThe jag kaa bhed bataaye ) \-2 shabanam kyuu.N niir bahaaye \-2 % #endindian \endsong