% \startsong \stitle{milatii hai zi.ndagii me.n mohabbat kabhii\-kabhii}% \film{Aankhen}% \year{1968}% \starring{Mala Sinha, Dharmendra}% \singer{Lata}% \music{Ravi}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Samiuddin Mohammed (sm0e@lehigh.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 19 1996 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % \printtitle #indian % milatii hai zi.ndagii me.n mohabbat kabhii\-kabhii hotii hai dilbaro.n kii inaayat kabhii\-kabhii sharmaa ke mu.Nh na pher nazar ke savaal par laatii hai aise mo.D par qismat kabhii\-kabhii khulate nahii.n hai.n roz dariche bahaar ke aatii hai jaan\-e\-man ye qayaamat kabhii\-kabhii tanahaa na kaT sake.nge javaanii ke raaste pesh aa_egii kisiikii zaruurat kabhii\-kabhii phir kho na jaae.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n milatii hai paas aane kii muhalat kabhii\-kabhii hotii hai dilbaro.n kii inaayat kabhii\-kabhii milatii hai zi.ndagii me.n mohabbat kabhii kabhii \threedots % #endindian \endsong %