% \startsong \stitle{sadiyo.n kaa hai silasilaa pahachaan ye puraanii hai ... miit mere man ke}% \film{Meet Mere Man Ke}% \year{1991}% \starring{Firoz Khan, Salama Agha, Prasanjeet, Ayesha Jhulka, Puneet Issar}% \singer{Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz}% \music{Babul Bose}% \lyrics{Ravindra Rawal}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % sadiyo.n kaa hai silasilaa pahachaan ye puraanii hai duniyaa ke gulashan me.n aa ke bahaar ban ke miit mere man ke ta.Dapaayaa milane se pahale hame.n mil ke bhii tarasaayaa tumane sanam paa.nv me.n za.njiir thii sharm kii chaah ke bhii magar ba.Dh sake na kadam ab na rahii vo duurii khatm hu_ii majabuurii mil hii gaye aaj ham duniyaa me.n giit mere man ke saaye me.n jis ke mile tumase ham aisii hii barasaat kii shaam thii motii kii jo buu.nd tan pe pa.Dii laa_ii khushii kaa paigaam thii mastaane mausam kii pyaar bharii vo chiTThii diivaane ke naam thii duniyaa ke gulashan me.n \threedots shaakho.n pe jaise naye gul khile ham bhii naye ruup me.n yuu.n mile khushbuu na badalii kabhii pyaar kii banate rahe pyaar ke silasile ulfat kii raaho.n me.n ma.nzil kii chaaho.n me.n ba.Dhate rahe qaafile duniyaa ke gulashan me.n \threedots % #endindian \endsong