% \startsong \stitle{o merii choranii, o merii moranii, mai.n to ho chukaa tumhaaraa}% \film{Qatilon ke Qatil}% \year{1981}% \starring{Dharmendra, Rishi, Zeenat, Tina Munim}% \singer{Rafi, Lata}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: Rizwan Syed (rizwan@earth.sparco.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10 1995 % Credits: David Windsor (david.windsor@anu.edu.au) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % r: o merii choranii, o merii moranii, mai.n to ho chukaa tumhaaraa \-2 hotaa mai pyaar, bas ek baar, hotaa nahii.n dobaaraa ho gayaa pyaar, pyaar, pyaar, tumase pyaar \-2 l: gha.Dii do gha.Dii, kii hai ye dillagii, mujhe doge kyaa sahaaraa guzaregii raat, bologe baat, kar loge phir kinaaraa karuu.N mai.n pyaar, pyaar, pyaar, kaise pyaar r: zi.ndagii me.n achchhii achchhii suurate.n dekhii.n magar \-2 lauTakar vaapas na aaiie.n, jab pa.Dii tumapar nazar l: mai.n na maanuu.N r: aazamaa lo l: gir pa.Doge r: tum sambhaalo diivaanaa dil de baiThaa hai, maanegaa na haar ho gayaa pyaar, pyaar, pyaar, tumase pyaar \-2 l: gha.Dii do gha.Dii, kii hai ye dillagii, mujhe doge kyaa sahaaraa guzaregii raat, bologe baat, kar loge phir kinaaraa karuu.N mai.n pyaar, pyaar, pyaar, kaise pyaar \-2 l: do mulaaqaato.n me.n tumako pyaar kaise ho gayaa \-2 r: dil to khone ke liye hai, kho gayaa jo kho gayaa l: diivaane ho r: huu.N diivaanaa l: jal jaaoge r: huu.N paravaanaa l: dekho yuu.N badanaam karo na, paravaane kaa pyaar karuu.N mai.n pyaar, pyaar, pyaar, kaise pyaar \-2 r: o merii choranii, o merii moranii, mai.n to ho chukaa tumhaaraa hotaa hai pyaar, bas ek baar, hotaa nahii.n dobaaraa ho gayaa pyaar,, pyaar, pyaar, tumase pyaar r: ab kaho tum umr bhar ke hamasafar ho ke nahii.n \-2 jaan\-e\-jaa.n, jaan\-e\-nazar, jaan\-e\-jigar ho ke nahii.n l: haa.N mai.n haarii r: phir se bolo l: huu.N tumhaarii r: phir se bolo l: dhuul se qadamo.n kii ab maathe kaa si.ngaar ho gayaa pyaar, pyaar, pyaar, tumase pyaar \-2 o merii zi.ndagii, o merii ba.ndagii, mere dil ne ye pukaaraa hotaa hai pyaar, bas ek baar, hotaa nahii.n dobaaraa dono.n: ho gayaa pyaar, pyaar, pyaar, tumase pyaar \-3 % #endindian \endsong %