% \startsong \stitle{mai.n huu.N saaqii tuu hai sharaabii}% \film{Ram Aur Shyam}% \year{1967}% \starring{Dilip Kumar, Waheeda Rahman, Mumtaz, Pran}% \singer{Rafi, Lata}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10648 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % la \: mai.n huu.N saaqii tuu hai sharaabii\-sharaabii \-2 ra \: tuune aa.Nkho.n se pilaa_ii vo nashaa hai ke duhaa_ii har taraf dil ke chaman me.n phuul khile hai.n gulaabii\-gulaabii la \: mai.n huu.N saaqii \threedots ishq me.n jiinaa sa.mbhal ke dil kaa paimaanaa naa chhalake bahakii\-bahakii terii nazare.n Kvaab dikhalaatii hai.n kal ke \-2 ra \: terii mahafil me.n o saaqii ham chale aa_e nashe me.n ab to bas ye hai tamannaa umr kaT jaa_e nashe me.n \-2 la \: ishq hai terii savaalii \-2 husn hai meraa javaabii\-javaabii ra \: tuu hai saaqii mai.n huu.N sharaabii\-sharaabii mai.n terii duniyaa me.n aa ke rah gayaa khud ko bhulaa ke kyaa ho anjaam naa jaane hosh ulfat me.n ga.nvaa ke \-2 la \: bekhudii ke ye taraane yuu.N hii gaa_e jaa diivaane ishq ra.ng laa_egaa apanaa aa ga_e ab vo zamaane \-2 ra \: terii mastaanii ye baate.n do \: aa aa terii mastaanii ye baate.n dil pe laa_e.N naa Karaabii\-Karaabii la \: mai.n huu.N saaqii \threedots % #endindian \endsong