% \startsong \stitle{jaag aa.Nkhe.n khol ... kahaa.N teraa insaaf hai}% \film{Sargam}% \year{1979}% \starring{Rishi Kapoor, Jayaprada}% \singer{Rafi}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11286 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % jaag aa.Nkhe.n khol chup kyo.n hai bol mere bhagavan ye kyaa ho rahaa hai \-2 kahaa.N teraa insaaf hai kahaa.N teraa dastuur hai ( mai.n to huu.N majabuur o bhagavan ) \-2 kyaa tuu bhii majabuur hai kahaa.N teraa insaaf \threedots sab kahate hai.n tuune har abalaa kii laaj bachaa_ii aaj hu_aa kyaa tujhako tere naam kii raam duhaa_ii aisaa zulm hu_aa to hogii terii hii rusavaa_ii \-2 ( aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu bhare hai.n ) \-2 dil bhii Gam se chuur hai kahaa.N teraa insaaf \threedots kaisaa atyaachaar hai shaadii hai yaa vyaapaar hai daulat me.n sab zor hai dharm ba.Daa kamazor hai bikate hai.n sa.nsaar me.n insaa.n bhii baazaar me.n duniyaa kii ye riit hai bas paise kii jiit hai aisaa agar nahii.n hai to sach bhagavaan kahii.n hai to mere saamane aa_e vo ye vishvaas dilaa_e vo \-3 % #endindian \endsong