% \startsong \stitle{maut kabhii bhii ... raat bhar kaa hai mehamaa.n a.Ndheraa}% \film{Sone Ki Chidiyaa}% \year{1958}% \starring{Balraj Sahni, Nutan, Talat Mehmood, Dhumal, Altaf, Amar}% \singer{Rafi/ Rafi, Asha}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10547 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: Produced by Ismat Chugtaai % \printtitle #indian % maut kabhii bhii mil sakatii hai lekin jiivan kal na milegaa marane vaale soch samajh le phir tujhako ye pal na milegaa ( raat bhar kaa hai mehamaa.n a.Ndheraa kisake roke rukaa hai saveraa ) \-2 raat jitanii bhii sa.ngiin hogii subah utanii hii ra.ngiin hogii Gam na kar gar hai baadal ghaneraa kisake roke rukaa hai \threedots lab pe shikavaa na laa ashq pii le jis tarah bhii ho kuchh der jii le ab ukha.Dane ko hai Gam kaa Deraa kisake roke rukaa hai \threedots yuu.N hii duniyaa me.n aa kar na jaanaa sirf aa.Nsuu bahaakar na jaanaa musuraahaT pe bhii haq hai teraa kisake roke rukaa hai \threedots ( aa ko_ii mil ke tadabiir soche.n sukh ke sapano.n kii taabiir soche.n ) \-2 jo teraa hai vahii Gam hai meraa kisake roke rukaa hai \threedots % #endindian \endsong