% ITRANS SONG # v4928; Created on Aug 11, 2004 \startsong \stitle{diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de}% \film{? (Non-Film)}% \year{}% \starring{}% \singer{Begum Akhtar}% \music{Begum Akhtar}% \lyrics{Behzad Lucknawi}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004 % Credits: Abhay Phadnis, U V Ravindra \printtitle #indian diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de varanaa kahii.n taqadiir tamaashaa na banaa de ai dekhane waalo mujhe ha.Ns\-ha.Ns ke na dekho tumako bhii mohabbat kahii.n mujhasaa na banaa de mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shamaa kahaa.N hai jo bazm kii har chiiz ko parawaanaa banaa de aaKir ko_ii suurat bhii to ho Kaanaa\-e\-dil kii kaabaa nahii.n banataa hai to butaKaanaa banaa de 'behzad' har ek gaam pe ek sajadaa\-e\-mastii har zarre ko sa.ng\-e\-dar\-e\-jaanaanaa banaa de #endindian \endsong