% \startsong \stitle{raahii matavaale, tuu chheD ik baar}% \film{Waris}% \year{1954}% \starring{Talat, Suraiyya}% \singer{Talat, Suraiyya}% \music{Anil Biswas}% \lyrics{Qamar Jalalabadi}% % % Contributor: Balaji A.S. Murthy % Transliterator: Rajiv Shridhar % Credits: Ashok Dhareshwar % Date: 03/30/1997 % Editor: Rajiv Shridhar % Comments : Surajit Bose says "The first version of the song is identical in its tune to a % very well-known Ravindra Sangeet song: % o re grihavaasii, khol dvaar khol, laagalo je dol" % \printtitle #indian % raahii matavaale, tuu chhe.D ik baar, man kaa sitaar jaane kab chorii\-chorii aa_ii hai bahaar chhe.D man kaa sitaar (dekh dekh chakorii kaa mana huaa cha.nchal cha.ndaa ke mukha.De pe badalii kaa aa.Nchal) \-2 kabhii chhupe, kabhii khile, ruup kaa nikhaar, khile ruup kaa nikhaar kalii\-kalii chuum ke pavan kahe khil jaa kalii\-kalii chuum ke, khilii kalii bha.Nvare se kahe aa ke mil jaa aa piyaa mila jaa, kalii\-kalii chuum ke dil ne sunii kahii.n dil kii pukaar \-2 kahii.n dil kii pukaar (raat banii dulhan bhiigii huii palake.n bhiinii\-bhiinii Kushabuu se saagar chhalake) \-2 aise me.n nainaa se nainaa ho.n chaar zaraa nainaa ho chaar #Slow version courtesy FITB# raahii matavaale, tuu chhe.D ik baar, man kaa sitaar jaane kab chorii chorii aa_ii hai bahaar, chhe.D man kaa sitaar raahii matavaale, raahii matavaale raahii matavaale, raahii matavaale (dil kaa suruur tuu, maa.ng kaa si.nduur tuu man kahe baar baar aayegaa zaruur tuu aayegaa zaruur tuu) \-2 tujhako bulaaye mere a.Nsuo.n kii dhaar \-2 aajaa ek baar raahii matavaale, tuu aajaa ek baar, suunii hai sitaar tere binaa ruuTh gayii hamase bahaar, tuu aajaa ek baar aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa, bairan ni.ndiyaaa aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa piyaa kahaa.N piyaa kahaa.N, (puuchh rahii bi.ndiyaa )\-2 aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa, bairan ni.ndiyaa ruuTh rahaa mujhase meraa hii si.ngaar \-2 aajaa ek baar raahii matavaale, tuu aajaa ek baar, suunii hai sitaar tere binaa ruuTh gayii hamase bahaar, aajaa ek baar % #endindian \endsong %