% ITRANS SONG \startsong \stitle{sun le baapuu ye paiGaam, merii chiTThii tere naam}% \film{Baalak}% \year{1969}% \starring{Jaymala, Devdatt, Master Sooraj}% \singer{Suman Kalyanpur}% \music{Dattaram}% \lyrics{Bharat Vyas}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Oct 22, 2004 \printtitle #indian sun le baapuu ye paiGaam, merii chiTThii tere naam chiTThii me.n sabase pahale, likhataa tujhako raam raam likhataa tujhako raam raam sun le baapuu ye paiGaam kaalaa dhan kaalaa vyaapaar, rishwat kaa hai garam baazaar saty ahi.nsaa kare.n pukaar TuuT gayaa charakhe kaa taar tere anashan satyaagrah ke badal gaye asalii bartaav ek na_ii vidyaa upajii jisako kahate hai.n gheraav terii kaThin tapasyaa kaa ye kaisaa nikalaa a.njaam praa.nt praa.nt se Takaraataa hai maayaa par bhaaShaa kii laat mai.n pa.njaabii tuu ba.ngaalii kaun kare bhaarat kii baat terii hi.ndii ke paa.Nv me.n a.ngrejii na Daalii Dor terii laka.Dii Thago.n ne Thag lii, terii bakarii le gaye chor saabaramatii sisakatii terii ta.Dap rahaa hai sevaagraam raam raaj kii terii kalpanaa u.Dii hawaa me.n ban ke kapuur bachcho.n ne pa.Dhanaa cho.Daa to.D pho.D me.n hai.n maGaruur netaa ho gaye dal badaluu desh kii paga.Dii rahe uchhaal tere puut biga.D gaye baapuu daaruu ba.ndii hu_ii halaal tere raajaghaaT par phir bhii phuul cha.Dhaate subah shaam #endindian \endsong