% ITRANS SONG \startsong \stitle{Kudaa kare ke muhabbat me.n ye maqaam aaye}% \film{The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film)}% \year{1985}% \starring{}% \singer{Mehdi Hasan}% \music{Nashad}% \lyrics{Tasleem Faazli}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian Kudaa kare ke muhabbat me.n ye maqaam aaye kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye kuchh is tarah se jiye zi.ndagii basar na hu_ii tumhaare baad kisii raat kii sahar na hu_ii sahar nazar se mile gul se le ke shaam aaye Kud apane ghar me.n wo mehamaan ban ke aaye hai.n sitam to dekhiye anjaan ban ke aaye hai.n hamaare dil kii ta.Dap aaj kuchh to kaam aaye wohii hii saaz wohii giit hai wohii ma.nzar har ek chiiz wohii hai nahii.n ho tum wo magar usii tarah se nigaahe.n uThe.n salaam aaye % the following were not in the version I heard tumhaaraa pyaar mere gesu_o.n kii ulajhan ho tumhaare naam se dil kaa charaaG roshan ho sahar nazar se mile zulf le ke shaam aaye kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye jahaa.N talak ye hasii.n gunagunaatii raat chale nazar nazar se mile dil se dil kii baat chale hamaare dil kii ta.Dap aaj kuchh to kaam aaye kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye mere Kayaalo.n kii tasaviir huu\-ba\-huu tum ho mere huzuur nigaaho.n kii aarazuu tum ho nazar uThe merii jaanib ko_ii salaam aaye kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye #endindian \endsong