% ITRANS SONG \startsong \stitle{kurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge}% \film{? (Non-Film)}% \year{}% \starring{}% \singer{Ghulam Ali}% \music{}% \lyrics{Ahmed Faraz}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian kurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge dil wo be\-mehar ki rone ke bahaane maa.Nge apanaa ye haal ki jii haar chuke, luT bhii chuke aur muhabbat vahii a.ndaaz puraane maa.Nge ham na hote to kisii aur ke charche hote Kalqat\-e\-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge yahii dil thaa ki tarasataa thaa maraasim ke liye ab yahii tark\-e\-ta_alluq ke bahaane maa.Nge dil kisii haal pe thaame hii nahii.n jaam\-e\-karaar mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge #endindian \endsong