% \startsong \stitle{ye kyaa jagah hai dosto.n, ye kaun saa dayaar hai}% \film{Umrao Jaan}% \year{}% \starring{Rekha, Naseeruddin Shah, Faroukh Sheikh, Rita Rani Kaul}% \singer{Asha}% \music{Khaiyyam}% \lyrics{Shahryar}% % % Contributor: % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Jasjit Singh (jasjit@cc.gatech.edu) % Himanshu Gupta (gupta@grinch.csl.uiuc.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % ye kyaa jagah hai dosto.n, ye kaun saa dayaar hai had\-e\-nigAh tak jahA.n gubAr hI gubAr hai ye kyA jagah hai dosto.n ye kis mukaam par hayaat, mujhako leke aa gaI na bas khushI pe kahA.n, na Gam pe ikhtiyaar hai ye\threedots tamAm umr kA hisAb mA.ngatI hai zindagI mA.ngatI hai zindagI ye merA dil kahe to kyA, ye khud se sharmasAr hai ye khud se sharmasAr hai ye\threedots bulA rahA kyA koI chilamano.n ke us taraf chilamano.n ke us taraf mere liye bhI kyA koI udAs beqarAr hai udaas beqarAr hai ye\threedots % (A nazm not in the song, but is there in the movie) na jisakI shakal hai koI, na jisakA naam hai koI ik aisI shai kA kyo.n hame.n azal se intazaar hai ye\threedots % #endindian \endsong %