% \startsong \stitle{ambar kii ek paak suraahii, baadal kaa ek jaam uThaakar}% \film{Kadambari}% \year{1974}% \starring{Shabana Azmi, Vijay Arora}% \singer{Asha}% \music{Vilayat Khan}% \lyrics{Amrita Pritam}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Swami D. Nigam (nigams@jec330.its.rpi.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Surajit A. Bose % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Vinay P Jain % Comment: The original poem on which this song is based % is significantly differently arranged. The poem has been % referenced below for comparison. \printtitle #indian % ambar kii ek paak suraahii, baadal kaa ek jaam uThaakar ghuu.NT chaa.Ndanii pii hai hamane, baat kufr kii kii hai hamane ... kaise isakaa karz chukaae.N, maa.Ng ke apanii maut ke haatho.n umr kii cholii sii hai hamane, baat kufr kii ... apanaa isame.n kuchh bhii nahii.n hai, roz-e-adal se usakii amaanat usako vahii to dii hai hamane, baat kufr kii ... % For reference, original poem by Amrita Pritam ---- ambar kii ek paak suraahii baadal kaa ik jaam uThaaye ghuu.NT chaa.Ndanii pii hai hamane hamane aaj ye duniyaa bechii aur ek diin Khariid ke laaye baat kufr kii kii hai hamane sapano.n kaa ek thaan bunaa thaa gaj ek kapa.Daa phaa.D liyaa aur umr kii cholii sii hai hamane kaise isakaa karz chukaauu.N maa.Ng ke apanii maut ke haatho.n ye jo zi.ndagii lii hai hamane % #endindian \endsong %