% ITRANS Song # % \startsong \stitle{zulfe.n ulajhii hai.n mere ka.Nganaa se}% \film{Burma Road}% \year{1962}% \starring{}% \singer{Lata}% \music{Chitragupt}% \lyrics{Majrooh}% % % Audio on: % Contributor: Arunabha S Roy % Transliterator: Arunabha S Roy % Date: 12 Nov 2004 % Series: LATAnjali % Comments: % generated using www.giitaayan.com % \printtitle #indian % zulfe.n ulajhii hai.n mere ka.nganaa se aake chhu.Daa de sanam haay re merii zulfe.n \threedots (haath meraa zaalim chuume chalii jaa_e bikharii hu_ii naagan se jhuumii chalii jaa_e) \-2 tuu ise pyaar se sa.nVaar de sanam haay re merii zulfe.n \threedots (priit banii jaa_e lambii kahaanii sulajhe nahii.n ulajhii chalii jaa_e diivaanii) \-2 mai.n ga_ii haar tere pyaar kii qasam haay re merii zulfe.n \threedots dukh me.n morii saiyaa.N kab se pa.Dii huu.N tum ho kha.De paas to phir sunate nahii.n kyo.n ke ba.Dii der se pukaaruu.N mai.n sanam haay re merii zulfe.n \threedots % #endindian \endsong