% ITRANS Song #21125 % \startsong \stitle{aajaa ke bulaate hai.n}% \film{Pathan}% \year{1962}% \starring{Premnath}% \singer{Talat Mahmood}% \music{Fakir Mohammad Asar Jimmy}% \lyrics{Khawar Zaman}% % % Audio on: HMV (LEGENDS-Talat Mahmood-vol 4) % Tags: % Contributor: Badr % Transliterator: Badr % Date: 28 Oct 2006 % Series: Talat -The Velvet Voice % Comments: a film produced by Madhubala and directed by her father Ataullah Khan % generated using www.giitaayan.com. 20090905. % \printtitle #indian % aajaa ke bulaate hai.n tujhe ashk hamaare aajaa ke bulaate hai.n chup chaap nigaaho.n ne tumhe.n pyaar kyaa thaa is dil ne muhabbat ka jo iqaraar kyaa thaa kaTate hai.n mere din unhii.n yaado.n ke sahaare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n\threedots ho.nTho.n pe machalane ke lie giit nahii.n hai ab haar hai jiivan me.n koii jiit nahii.n hai ham pyaar kii baazii kabhii jiite kabhii haare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n \threedots jis nadiyaa pe kaTatii thii har ik shaam suhaanii (2) jis nadiyaa pe ha.Nsatii thii kabhii aa ke javaanii rotaa hai meraa dil usii nadiyaa ke kinaare yaad aate hai.n vo din jo tere saath guzaare aajaa ke bulaate hai.n % #endindian \endsong