% ITRANS Song #21258 % \startsong \stitle{kal to ##Sunday## kii chhuTTii hai}% \film{Agar Tum Na Hote}% \year{1983}% \starring{Raj Babbar, Rekha}% \singer{Shailendra Singh, Rekha}% \music{R D Burman}% \lyrics{Gulshan Bawra}% % % Audio on: HMV % Tags: % Contributor: Abhijit Deonath % Transliterator: Abhijit Deonath % Date: 26 Jun 2007 % Series: GEETanjali, THGHT % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20090905. % \printtitle #indian % shai: kal to ##Sunday## kii chhuTTii hai phir kis baat kaa ronaa hai aaj raat bhar ham ko pagalii jaag jaag kar sonaa hai re: har pal tum ##Sunday## samajho bas isii baat kaa ronaa hai subah mujhe jaldii uThanaa hai isaliye jaldii sonaa hai shai: ( mai.nne to sochaa thaa merii haa.N me.n haa.N milaaogii sunake merii baat merii jaa.n phuulii nahii.n samaaogii ) 2 waah rii qismat bharii jawaanii me.n is dam bhii honaa hai re: subah mujhe jaldii uThanaa hai isaliye jaldii so jaa baabaa kabhii kabhii achchhaa lagataa hai miiThe miiThe Kwaab aaye Kwaab tabhii aaye.nge pagale jab ham jaldii so jaaye.n dhiire dhiire pyaar ke dhaago.n me.n har Kwaab pironaa hai subah mujhe jaldii uThanaa hai isaliye jaldii sonaa hai shai: ( chaa.Nd raat kaa ye kahanaa hai ek baar to pyaar se mil re: laakh na chaahuu.N phir bhii terii baato.n me.n aa jaaye dil ) 2 terii baato.n me.n jaane kyaa aisaa jaaduu Tonaa hai subah mujhe jaldii uThanaa hai isaliye jaldii sonaa hai shai: kal to ##Sunday## kii chhuTTii hai \threedots % #endindian \endsong