% \startsong \stitle{aur kuchh der Thahar aur kuchh der na jaa}% \film{Aakhri Khat}% \starring{Rajesh Khanna, Indrani Mukherjee}% \singer{Rafi}% \music{Khaiyyam}% \lyrics{Kaifi Azmi}% % % Contributor: Vandana Iyengar % Transliterator: % Date: 05/28/97 % Credits: % Editor: % Comments: A Tribute to Kaifi Azmi % \printtitle #indian % aur kuchh der Thahar aur kuchh der na jaa aur kuchh der Thahar \threedots raat baaqii hai abhii raat me.n ras baaqii hai paake tujhako tujhe paane kii havas baaqii hai aur kuchh der Thahar aur kuchh der na jaa aur kuchh der Thahar \threedots jism kaa ra.ng fazaa me.n jo bikhar jaayegaa maharabaan husn teraa aur nikhar jaayegaa laakh zaalim hai zamaanaa magar itanaa bhii nahii.n tuu jo baaho.n me.n rahe vaqt Thahar jaayegaa aur kuchh der Thahar aur kuchh der na jaa aur kuchh der Thahar \threedots zi.ndagii ab inhii.n qadamo.n pe luTaa duu.N to sahii ai hasiin but mai.n Kudaa tujhako banaa duu.N to sahii aur kuchh der Thahar aur kuchh der na jaa aur kuchh der Thahar \threedots % #endindian \endsong %