% \startsong \stitle{abhiGYaan shaakuntal}% \film{Kavi Kalidas}% \year{1959}% \starring{Bharat Bhushan, Nirupa Roy, Anita Guha}% \singer{Manna De, Asha}% \music{S N Tripathi}% \lyrics{Bharat Vyas}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % praNay virah aur milan kii kathaa suno saathii abhigyaan shaakuntal sundar abhinay kalaa ??? aa~ sakhii hriday me.n halachal kyo.n hone lagii merii akhiyaa.N do cha.nchal kyo.n hone lagii gayaa bachapan kaa raat din aayaa vo aaj tan kumhalaaye ab singaar se paa.Nv dabate hai.n yauvan ke bhaar se koii kaano.n me.n gun gun gun gaane lagaa dekho bhanvaraa bhii hamako sataane lagaa Da.nk maare kyo.n jor mat kar itanaa shor koii aayegaa terii pukaar se paa.Nv dabate hai.n yauvan ke bhaar se kaNv sutaa priy shakuntalaa nahii.n aa.Nchal sakii sambhaal ruup dekh dushhyant kaa haay huii behaal ye tapasvini vo raajaa phir bhi anhoni ho gayi puurN yauvanaa pratham milan kii pratham drishhTii me.n kho gayii raajaa ne bhii ghar aur jag kii zaraa na kii parvaah shakuntala ke sa.ng kiyaa ban me.n gandharv vivaah kar vivaah de kar vachan nR^ip ne kiyaa prasthaan kintu shaapvashh bhuul gaye vo shakuntalaa kaa dhyaan bhuul gaye kyo.n de ke vachan tan ko jalaaye birahaa agan yaa chale aao, yaa mujhako bulaao darshan bin akulaaye nayan bhuul gaye kyo.n de ke vachan bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye kyo.n bhuul gaye birahaa taap se byaakul birahan sah na sakii judaa_ii priya.nvadaa ne maa.N ke god me.n ye kathaa sunaayii maa.N kii mamataa bharii, do akhiyaa.N karuNaa se bhar aayii.N pitaa kaNv laa.Dalii shakun ko dete aaj bidaai rone lagii aashram ke sakhiyaa.N sahelii rone lagii bagiyaa kii saathi chamelii hiraNaa bhii roy jis ke sa.ng zaraa khelii chho.D hame.n aaj kahaa.N chalii ho akelii nayano.n me.n ullaas thaa man me.n milan kii aas maa.N ke sa.ng shakuntalaa pahu.Nchii piyaa ke paas badal gaye dushhyant nR^ip vidhi kaa ajab vidhaan durvaasaa ke shaap vash sake nahii.n pahachaan kaun ho kahaa.N se aa rahii ajaan naar tum kyaa bataa_uu.N jab bhulaate ho hamaaraa pyaar tum pyaar kaisaa pyaar? pyaar kaisaa pyaar jhuuThh bolatii zabaan tum dekh lo diyaa huaa a.nguuThii kaa nishaan tum mai.n na jaanataa tumhe.n ye kaisaa naarii va.nsh hai mere garbh me.n tumhaare va.nsh hii kaa a.nsh hai jaa apane ghar sundarii kha.Dii yahaa.N kyo.n maun jaa kala.nkinii piyaa nahii.n to ham bhii tumhaare kaun TuuT pa.Daa aakaash, phaTaa dharitrii maa.N mujhe sambhaalo god me.n piyaa hue aGYaan % #endindian \endsong %