% \startsong \stitle{bahe na kabhii nain se niir}% \film{Vidya}% \year{1948}% \starring{}% \singer{Mukesh}% \music{S D Burman}% \lyrics{Yashodanand Joshi}% % % Contributor: Vijay Kumar % Transliterator: Vijay Kumar % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % bahe na kabhii nain se niir uThii ho chaahe dil me.n piir baa.Nvare yahii priit kii riit aashaaye.n miT jaaye.n to miT jaaye.n dil kii aahe.n kabhii na baahar aaye.n bharii ho ho.nTho.n par muskaan na koii le dil ko pahachaan isii me.n hai re terii jiit baa.Nvare yahii priit kii riit diipak jale bhavan me.n rahe pata.ngaa ban me.n priit khii.nch kar laayii use jalaayaa kshaN me.n jalan kaa use kahaa.N thaa hosh pyaar kaa cha.Dhaa huaa thaa josh gaa rahii duniyaa.N usakii giit baa.Nvare yahii priit kii riit % #endindian \endsong %