% \startsong \stitle{chaman me.n rah ke viiranaa}% \film{Deedar}% \year{1951}% \starring{Nargis, Ashok Kumar, Dilip Kumar, Nimmi, Yaqub}% \singer{Shamshad}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Prithviraj Dasgupta % Transliterator: Prithviraj Dasgupta % Date: Oct 11, 2001 % \printtitle #indian % ##slow## chaman me.n rah ke viiraanaa meraa dil hotaa jaataa hai ##fast## chaman me rah ke viiraanaa meraa dil hotaa jaataa hai khushii me.n aaj kal kuchh Gam bhii shaamil hotaa jaataa hai chaman me.n rah ke viiraanaa \threedots (na jaane kyo.n badalatii jaa rahii hai zi.ndagii merii na jaane zi.ndagii merii) \- 2 mai.n dil se beKabar dil mujh se Gaafil hotaa jaataa hai chaman me.n rah ke viiranaa \threedots (ye ulajhan aur ye bechainii ye dha.Dakan aur ye betaabii ye dha.Dakan aur ye betaabii) \- 2 meraa dil jaane kin tiiro.n se ghaayal hotaa jaataa hai chaman me.n rah ke viiranaa \threedots % #endindian \endsong %