% \startsong \stitle{raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai}% \film{Sajni}% \year{1956}% \starring{Anup Kumar, Sulochana}% \singer{Lata}% \music{Sudhir Phadke}% \lyrics{Pt. Narendra Sharma}% % % Contributor: Srinivas Ganti % Transliterator: Srinivas Ganti % Date: Feb11, 2002 % Credits: % Comments: LATAnjali series % \printtitle #indian % raat a.ndhiyaarii hai raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai sukh se tuu so mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai taare hai.n gagan me.n, aa.Nsuu hai.n nayan me.n ab naa samaaye merii piir, mere man me.n dharatii bhii roye aur roye aasamaa.N mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai sisak rahaa hai praaN, viinaa kaa taar taar (jahaa.N bhii nayan jaaye a.ndhakaar a.ndhakaar)\-2 aa.Nsuuo.n ke motiyo.n kii tuu hai musakaan mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai jahaa.N bhii tuu rahe, mere aa.Nsuuo.n kii dhaar rahe balihaarii jaa_uu.N maan, meraa man praaN kahe mere pyaare devataa kaa tuu hai varadaan mere praaN, mere maan, merii rai.n ke vihaar raat a.ndhiyaarii hai, maat dukhiyaarii hai raat a.ndhiyaarii hai % #endindian \endsong %