% \startsong \stitle{saare jahaa.N kii amaanat hai ye}% \film{Armaan}% \year{1981}% \starring{}% \singer{Kishore}% \music{Bhappi Lahari}% \lyrics{}% % % Contributor : Ramesh S % Transliterator : K Vijay Kumar % Commnets : % \printtitle #indian % jiivan miTaanaa hai diivaanaapan koii pyaar jiivan se pyaaraa nahii.n pyaaraa nahii.n aa, ha haa ahaa saare jahaa.N kii amaanat hai ye ye jiivan tumhaaraa tumhaaraa nahii.n hai.n jiine ke laakho.n sahaare yahaa.N bas ek hii to sahaaraa nahii.n aa, ha haa ahaa agar koii duniyaa se ruuThe to kyaa koii phuul khilate hii TuuTe to kyaa sitaare hazaaro.n hai.n aakaash par bas ek hii to sitaaraa nahii.n aa, ha haa ahaa kisii ke iraado.n ke Kaatir jiyo kisii ke muraado.n ke Kaatir jiyo hai yaado.n me.n jiinaa bhii to zi.ndagii jiinaa tumhe.n kyo.n gavaaraa nahii.n aa, ha haa ahaa kaisii udaasii hai kaisaa hai sog jiivan me.n aate hai.n jaate hai.n log nayaa koii saathii kha.Daa raaho.n me.n use pyaar se kyo.n pukaaraa nahii.n aa, ha haa ahaa % #endindian \endsong %