% \startsong \stitle{jab tak pure naa ho.n phere saat}% \film{Nadiya Ke Paar}% \year{1982}% \starring{Sachin, Sadhna Singh}% \singer{Hemlata, chorus}% \music{Ravindra Jain}% \lyrics{Ravindra Jain}% % % Contributor: Porkey (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Surajit Bose % \printtitle #indian % babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa jab tak puure naa ho.n phere saat tab tak dulhin nahii.n dulhaa kii re tab tak babunii nahii.n babuvaa kii, naa, jab tak ... ab hii to babuwaa pahalii hii bha.Nvar pa.Dii hai ab hii to pahunaa dillii hii dUr ba.Dii hai ho pahalii hii bha.Nvar pa.Dii hai, dillii duur ba.Dii hai karanii hogii tapasyaa saarii raat, jab tak puure naa ... jaise jaise bha.Nvar pa.De man a.Nganaa ko chho.De ek ek bha.Nvar naataa anajaano.n se jo.De man ghar a.Nganaa ko chho.De, anajaano.n se naataa jo.De sukh kii badarii aa.Nsuu kii barasaat, jab tak puure naa ... babuwaa ho babuwaa, pahunaa ho pahunaa saat phere karo babuwaa bharo saat vachan bhii aise kanyaa kaise arpaN kar de.n tan bhii man bhii uTho uTho babunii dekho dekho dhruv taaraa dhruv taare saa ho amar suhaag tihaaraa ho dekho dekho dhruv taaraa, amar suhaag tihaaraa saato.n phere saat janmo.n kaa saath, jab tak puure naa ... % #endindian \endsong %