% ITRANS SONG # rmim0059; Created on Jan 26, 2004 % % animesh kumar 11/29/3 % \startsong \stitle{maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe}% \film{non-Film}% \year{}% \singer{Laxmi Shankar}% \music{}% \lyrics{Kabir}% % % Contributor + Transliterator = Animesh Kumar % Series: Sukhsaagar, Date = 28th Nov, 2003 % Collection of Doha written by Sant Kabir Das % \printtitle #indian % (maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe ek din aisaa hoyegaa mai.n ruu.Ndu.Ngii tohe)\-2 (aaye hai.n so jaae.Nge raajaa ra.nk faqiir)\-2 ek si.nghaasan cha.Dhi chale ek ba.Ndhe ja.njiir durbal ko na sataaiye jaakii moTii haay binaa jiibh ke swaas sau.n lauh bhasm ho_i jaay chalatii chaakii dekhake diyaa kabiiraa roy do paaTan ke biich me.n (baakii bachaa na koy)\-2 dukh me.n sumiran sab kare.n sukh me.n kare na koy jo sukh me.n sumiran kare.n to dukh kaahe hoy (pattaa TuuTaa Daal se le ga_ii pawan u.Daay)\-2 abake bichha.De kab mile.nge duur pa.De.nge jaay kabiir aap Thagaa_iye aur na Thagiye koy aap Thage sukh uupaje (aur Thage dukh hoy)\-2 maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe ek din aisaa aaegaa (mai.n ruu.Ndu.Ngii tohe)\-2 % #endindian \endsong %