% ITRANS SONG # rmim0265; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{Galat hai luuT liyaa tumako husn vaalo.n ne}% \film{Chaand}% \year{1959}% \starring{Balraj Sahni, Pandari Bai, Meena Kumari}% \singer{Ranganath Jadhav, Chorus}% \music{Hemant}% \lyrics{Akhtar Lakhnavi}% % % Contributor : Malini Kanth % Date : 3/28/2003 % Credits : Balaji Murthy % Comments : Geetanjali Series % \printtitle #indian % ## mukhaDaa is sung first by male, then by female chorus then by male+female chorus ## Galat hai luuT liyaa tumako husn vaalo.n ne tumhe.n to luuTaa tumhaare bure Kayaalo.n ne Kataa tumhaarii hai ilzaam husn vaalo.n par /-2 Kudaa kii maar tumhaare bure Kayaalo.n par /-2 ## female1 ##: nazar tumhaarii hameshaa hai Kushajamaalo.n par ## female2 ##: kisii ke baalo.n pe aashiq kisii ke gaalo.n par zamaanaa thuukegaa vallaah aisii chaalo.n par /-2 taras na khaayegaa ko_ii tumhaare haalo.n par /-2 aa aa aa javaab saaf milegaa tumhe.n savaalo.n par zubaan kholii agar tumane husn vaalo.n par (Galat hai luuT liyaa tumako husn vaalo.n ne tumhe.n to luuTaa tumhaare bure Kayaalo.n ne) /-2 jahaa.N kahii.n tumhe.n ko_ii hasii.n nazar aayaa /-2 tumhaare dil ne tumhaarii nazar ko bahakaayaa /-2 ## female1 ##: ke tumane dil se sharaafat ko yuu.N miTaa Daalaa ## female2 ##: bure Kayaal ne a.ndhaa tumhe.n banaa Daalaa tum apanii aabaruu Kud apane haatho.n khote ho /-2 bure ho dil me.n buraa_ii ke biij bote ho /-2 aa aa aa hameshaa husn kaa ronaa jahaa.N me.n rote ho zaraa bataa_o hasiino.n ke kaun hote ho ke (Galat hai luuT liyaa tumako husn vaalo.n ne tumhe.n to luuTaa tumhaare bure Kayaalo.n ne) /-2 gunaahagaar tumhaarii nigaahe.n hotii hai.n /-2 tumhaare dil kii to duniyaa siyaah hotii hai /-2 ## female1 ##: na ishq hotaa hai tumako na chaah hotii hai ## female2 ##: yahii vo baat hai ba.Dhakar gunaah hotii hai ## female1 ##: kahaa to zulm sahe.nge ye purajafaa_o.n ke ## female2 ##: janaaze.n roz nikalate hai.n behayaa_o.n ke inhe.n na chhe.Do Kudaaraa ke Kaadimaa_e.n hai.n /-2 tumhaarii bahane.n hai.n betii hai.n aur maa.N_e.n hai.n /-2 aa aa aa na kaalii zulfo.n se matalab na gore gaalo.n se Kudaa bachaa_e har ik ko bure Kayaalo.n se ke (Galat hai luuT liyaa tumako husn vaalo.n ne tumhe.n to luuTaa tumhaare bure Kayaalo.n ne) /-2 % #endindian \endsong %