% ITRANS SONG # rmim0407; Created on Jan 26, 2004 % % From: Srinivas Ganti (gantisri@hotmail.com) % Date: 2001-06-08 16:50:17 PST % \startsong \stitle{sun le tuu dil kii sadaa}% \film{Tere Ghar Ke Samne}% \year{1963}% \starring{Dev Anand, Nutan}% \singer{Rafi}% \music{S D Burman}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Srinivas Ganti % Transliterator:Srinivas Ganti % Date:7 June 2001 % Comments:SDB series % \printtitle #indian % #Happy version sun le tuu dil kii sadaa,pyaar se pyaar sajaa \-2 sun le tuu dil kii sadaa merii aavaaz kaa tiir,jaayegaa dil ko bhii jiir? \-2 khoye nafarat,laaye ulafat ye asar hai meharabaa.n sun le tuu dil kii sadaa \threedots pyaar rastaa hai meraa,aisaa raahi huu.N teraa \-2 na rahuu.N mai.n,na rahe tuu par rahegii daastaa.n sun le tuu dil kii sadaa \threedots do dilo.n kii ye lagan,jaane dharatii aur gagan \-2 tuu jahaa.N hai,mai.n vahaa.N huu.N jism do hai,ek jaan sun le tuu dil kii sadaa \threedots #Sad version sun le tuu dil kii sadaa,pyaar se pyaar sajaa \-2 sun le tuu dil kii sadaa aaj tak jo bhii huaa,jhuuTe jaga.Do.n ne kiyaa aaj tak jo bhii huaa aaj tak jo bhii huaa,jhuuTe jaga.Do.n ne kiyaa pyaar hotaa to kuchh naa hotaa,naa uja.Date aashiyaa.n sun le tuu dil kii sadaa \threedots pyaar jisane naa kiyaa,khaak duniyaa me.n jiyaa pyaar jisane naa kiyaa pyaar jisane naa kiyaa,khaak duniyaa me.n jiyaa usaka jiivan koii jiivan,jaise viiraan bastiyaa.n sun le tuu dil kii sadaa \threedots pyaar jis dil me.n javaa.N,samajho bhagavaan vahaa.N pyaar jis dil me.n javaa.N pyaar jis dil me.n javaa.N,samajho bhagavaan vahaa.N maan le tuu aur samajh le,Dha.Dakano.n kii ye zubaa.N sun le tuu dil kii sadaa \threedots % #endindian \endsong %