% ITRANS SONG # rmim0529; Created on Jan 26, 2004 % % urzung khan 11/18/3 % \startsong \stitle{meraa dukh ambar me.n chhaayaa}% \film{non-Film}% \year{}% \starring{}% \singer{Talat}% \music{Madan Prakash}% \lyrics{Sajjan}% % % Contributor: , 11/18/3 % \printtitle #indian % meraa dukh ambar me.n chhaayaa rom rom se phuuTaa dukh.Daa jo dil me.n naa samaayaa meraa dukh ambar me.n chhaayaa \threedots paa.Nv mere hardam kaa.NTo.N par haatho.n me.n a.ngaare chuuTaa karate in naino.n se lahuu ke favvaare itanii garm aah bharataa huu.N jise chhuu_ii, murjhaayaa meraa dukh ambar me.n chhaayaa ro kar karii raat banaa dii ha.Ns kar din ujiyaalaa jo pii letaa mere aa.Nsuu ban jaataa matawaalaa merii aashaa aur niraashaa banii dhuup aur chhaayaa meraa dukh ambar me.n chhaayaa chaa.Nd aur suraj ambar ke baadal ra.Ngo.N waale an-gintii jo dekh rahe ho jugnuu aur sitaare aa.Nsuu kaa bun taanaa baanaa mai.n ne jii bahalaayaa meraa dukh ambar me.n chhaayaa \threedots % #endindian \endsong %