% ITRANS SONG # % Date: Mon, 21 Jun 2004 19:37:02 -0400 % From: Satish Kalra \startsong \stitle{ik thaa bachapan}% \film{Aashirwad}% \year{1968}% \starring{Ashok Kumar, Sanjeev Kumar, Sumita Sanyal}% \singer{Lata, chorus}% \music{Vasant Desai}% \lyrics{Gulzar}% % Audio on: HMV % Contributor: Deepak Sabnis % Transliterator: Deepak Sabnis, Satish Kalra % Date: 21 Jun 2004 % Series: Latanjali % Comments: Father's Day song % generated using giitaayan \printtitle #indian ik thaa bachapan, ik thaa bachapan chhoTaa saa nanhaa saa bachapan, ik thaa bachpan bachapan ke ik baabuujii the, achchhe sachche baabuujii the dono.n kaa su.ndar thaa ba.ndhan, ik thaa bachapan Tehanii par cha.Dhake jab phuul bulaate the haath usake vo Tehanii tak naa jaate the bachapan ke nanhe do haath uThaakar vo phuulo.n se haath milaate the ik thaa bachapan, ik thaa bachapan chalate chalate, chalate chalate jaane kab in raaho.n me.n baabuujii bas gaye bachapan ki baaho.n me.n muTThi me.n ban.d hai.n vo suukhe phuul bhii khushabuu hai jiine kii chaaho.n me.n ik thaa bachapan, ik thaa bachapan ho.NTho.n par unakii awaaz bhii hai, mere ho.NTho.n par unakii awaaz bhii hai saa.Nso.n me.n sau.Npaa vishwaas bhii hai jaane kis mod pe kab mil jaaye.nge wo, puuchhe.nge bachapan kaa ehasaas bhii hai ik thaa bachapan, ik thaa bachapan\threedots #endindian \endsong