% ITRANS SONG % Arunabha S Roy on 9/14/2004 3:10:29 PM. \startsong \stitle{bahut din hu_e ... samaa alabelaa}% \film{Anuraadhaa}% \year{1960}% \starring{Balraj Sahni, Leela Naidu}% \singer{Lata, Manna Dey, Mahendra Kapoor, Chorus}% \music{Ravi Shankar}% \lyrics{Shailendra}% % Contributor: Arunabha S Roy % Transliterator: Arunabha S Roy % Date: 14 Sep 2004 % Series: LATAnjali % generated using giitaayan \printtitle #indian mahe.ndra: bahut din hu_e taaro.n ke desh me.n cha.ndaa kii nagariyaa me.n rahate the ik raajaa baj rahaa thaa duur duur unakii jay kaa baajaa baiThe the partaapii raajaa vaise unakii raanii jaisaa ruup ra.ng paayaa vaisii Gyaanii daanii dono.n kii dulaarii ik bitiyaa thii pyaarii phuul jaisii naazuk thii vo naam thaa phuul kumaarii a.ndhii taqadiir ne a.ndher kiyaa bhaarii chhiinii usake ho.nTho.n se ha.Nsii vo pyaarii pyaarii phuul kumaarii bhuul ga_ii ha.Nsanaa muskuraanaa luuT liyaa bhaag ne Kushii kaa vo khazaanaa magar ye kaun, ye kaisii aawaaz ? mannaa: leke dil kaa saaz ham giit gaane aa gaye he, dil ke kaliyo.n ne kahaa din suhaane aa ga_e Gam ke baadal haT ga_e khul gayaa niilaa gagan har kalii ko pyaar se chhuu ga_ii suuraj kiran muskuraa lo jhuum lo o zamaane aa gaye leke dil kaa saaz ham giit gaane aa ga_e lataa: samaa alabelaa din hai.n milan ke priit leke aa_e dekho miit mere man ke piyaa\-piyaa gaaye jiyaa naache man moraa merii unakii jo.Dii jaise chaa.Nd aur chakoraa naino.n me.n chhupaaye phiruu.N sapane sajan ke samaa alabelaa \threedots jinhe.n mai.nne dil diyaa vo bhii rahe mere man me.n manaa_uu.N mai.n saa.Njh aur savere jiite jii na TuuTegii ye ba.ndhan jiivan ke samaa alabelaa \threedots mahe.ndra: jaise unake achhe din phir se lauT aa_e maalik aise sabakii sune sabake din lauTaa_e #endindian \endsong