Fill In The Blanks [48]

jhuumatii chalii havaa

Contributed by Ashok M. Dhareshwar



Film: Sangeet Samraat Tansen (1962)
Singer: Mukesh
Music: S. N. Tripathi
Lyrics: Shailendra
ISB Contributor: Preeti Ranjan Panda

jhuumatii chalii havaa, yaad aa gayaa koii
bujhatii bujhatii aag ko, phir jalaa gayaa koii
jhuumatii chalii havaa ...

kho ga_ii hai.n ma.nzile.n, miT gaye hai.n raaste
gardishe.n hii gardishe.n, ab hai.n mere vaaste
ab hai.n mere vaaste
aur aise me.n mujhe, phir bulaa gayaa koii
jhUmatii chalii havaa ...

chup hai.n chaa.Nd chaa.Ndanii, chup ye aasamaan hai
miiThii miiThii nii.nd me.n, so rahaa jahaan hai
so rahaa jahaan hai
aaj aadhii raat ko, kyo.n jagaa gayaa koii
jhUmatii chalii havaa ...


The film version leaves out the stanza beginning "chup hai.n chaa.Nd chaa.Ndani" and has the following stanza in its place:

ek huu.Nk sii uThii, mai.n sihar ke rah gayaa
dil ko apanaa thaam ke aah bhar ke rah gayaa
chaa.Ndanee kii oT se muskuraa gayaa koii
jhuumatii chalii havaa


Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article