Fill In The Blanks [57]

kahaa.N le chale ho bataa do musaafir

Contributed by Neha Desai



The ISB version of this song is missing the last stanza.

Film: Durgesh Nandini (1956)
Singer: Lata Mangeshkar
Music: Hemant Kumar
Lyrics: Rajinder Krishan
ISB Contributor: Preeti Ranjan Panda

kahaa.N le chale ho bataa do musaafir
sitaaro.n se aage ye kaisaa jahaa.N hai
Kayaalo.n kii ma.nzil ye Kvaabo.n kii mahafil
samajh me.n na aaye ye duniyaa kahaa.N hai

kahaa.N rah gaye qaafile.n baadalo.n ke
zamiin chhup gayii hai tale baadalo.n ke
hai mujhako yaqii.n ke hai jannat vahii.n
ajab sii fizaa hai, ajab ye samaa hai
kahaa.N le chale ho

nazar kii duaa kaa javaab aa rahaa hai
merii aarazuu pe shabaab aa rahaa hai
ye Kaamoshiyaa.n bhii hai.n ik daastaa.n, koii
kahataa hai mujhase mohabbat javaa.n hai
kahaa.N le chale ho


The missing stanza goes:

muhabbat bharii is jahaa.n kii hai.n raahe.n
jinhe.n dekhakar kho gayii hai.n nigaahe.n
ye halakii hawaa laayii kaisaa nashaa, na
rahaa hosh itana meraa dil kahaa.N hai
kahaa.N le chale ho



Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article