Fill In The Blanks [66]

ajanabii tum jaane pahachaanese lagate ho

Contributed by Uday Patel



The ISB has the Kishore Kumar version of this tandem song.

Film: Ham Sab Ustad Hain
Singer: Kishore Kumar / Lata Mangeshkar
Music: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Asad Bhopali
ISB Contributor: Arun Verma

ajanabii ## [loud] ##

ajanabii, tum jaane pahachaane se lagate ho
ye ba.Dii ajiib sii baat hai
ki na_ii na_ii mulaaqaat hai

phir bhii jaane kyo.n, ajanabii \threedots

tumane kabhii pyaar kiyaa thaa kisii raahii se
tumane kabhii vaadaa kiyaa thaa kisii saathii se
naa vo pyaar rahaa, naa vo baat rahii
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii \threedots

dil me.n rahe aur hamaaraa dil to.D diyaa
saath chale, mo.D pe aake hame.n chho.D diyaa
tum ho kahii.N, aur ham kahii.N
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii \threedots



There is also a Lata version. The lyrics are as follows.

ajanabii, tum jaane pahachaanese lagate ho
ye ba.Dii ajiib sii baat hai
ki na_ii na_ii mulaaqaat hai
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii, tum \threedots

lagataa hai yuu.N Kvaab hai, jaise koii dekhaa huaa
kahataa hai dil aaj milaa hai ko ii khoyaa huaa
na Kayaal tumhe.n na Kayaal hame.n
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii, tum \threedots

kisako Kabar pahale mile the ham dono.n kahaa.N
kabase magar Dhuu.NDh rahaa thaa tumhe.n meraa jahaa.N
na to yaad tumhe.n, na to yaad hame.n
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii, tum \threedots

kitane janam biit gaye hai.n tumhe.n paane me.n
hamane tumhe.N pyaar kiyaa thaa anajaane me.n
na kabhii mile, na qariib hue
phir bhii jaane kyo.n, ajanabii, \threedots

Like "jyot se jyot jagaate chalo", this appears to be another of those cases where tandem versions of solo songs have an unequal number of stanzas.



Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article