Article: 16258 of rec.music.indian.misc Path: Fidoii.CC.Lehigh.EDU!Lehigh.EDU!sm0e From: sm0e@Lehigh.EDU (SAMIUDDIN MOHAMMED) Newsgroups: rec.music.indian.misc Subject: CHHAYA GEET #20: RAFI Sings for Different MD's Date: 31 Jul 1994 06:49:47 GMT Organization: Lehigh University Lines: 194 Distribution: world Message-ID: <31fhib$jh7@Fidoii.CC.Lehigh.EDU> NNTP-Posting-Host: wh457c.cc.lehigh.edu Keywords: Chhaya Geet, Rafi RMIM ke bhaio aur baheno, This is #20 of a series based on the famous Vividh Bharathi radio program "Chhaya Geet" in which songs based on a particular theme are played. This series serves to corroborate the "Naushad fan postulate" which states that for every REAL life situation, there exists atleast one REAL song which can be sung in your IMAGINARY world ! :-) This series is also a small tribute to my favourite Vividh Bharathi announcer and Chhaya Geet hostess Kanta Gupta. CHHAYA GEET #20 TODAY'S SITUATION/THEME: Today's Chhaya Geet is a special, dedicated to the memory of my favourite singer MOHAMMED RAFI on the occasion of his 14th death anniversary. ******** RAFI Sings for Different MD's ******** I have made a list of some of my favourite songs which Rafi Sahab has sung for different music directors. I have ranked the first 10 music directors. This is just MY ranking and needn't be the same as anyone else's. Also, no claim is made that the following songs are the BEST which Rafi Sahab has sung for each MD. These just happen to be some of my favourites. Here are 25 Rafi solos, each composed by a different music director. Sami Mohammed (A MOHAMMED RAFI fan)...who wishes that HMV wud compile a 2-cassette volume with these songs. 1. NAUSHAD (Baiju Bawra) Hari Om... Man tarapat Hari darshan ko aaj Man tarapat Hari darshan ko aaj 2. ROSHAN (Chitralekha) Man re tu kaahe na dheer dhare Woh nirmohi, moh na jaane, jinka moh kare Ho, man re tu kaahe na dheer dhare 3. S.D.BURMAN (Bombai ka Babu) Saathi na koi manzil, diya hai na koi mehfil Chala mujhe leke ai dil, akela kahan Saathi na koi manzil 4. C.RAMACHANDRA I rank C.R. #4, but as far as I know, Rafi didn't sing for CR. If anyone knows any song sung by Rafi Sahab under CR's baton, please let me know. Other well-known MD's for whom Rafi never sang were perhaps Anil Biswas and Hemant Kumar. 5. MADAN MOHAN (ChiraaGH) Teri aankhon ke siwa duniya me rakha kya hai Teri aankhon ke siwa duniya me rakha kya hai Ye uTHe subah chale, ye jhuke shaam DHale Mere jeena mera marne inhin palkon ke tale Teri aankhon ke siwa duniya me rakha kya hai 6. R.D.BURMAN (Teesri Manzil) Tumne mujhe dekha, hokar meherbaan Ruk gaee ye zamin, tham gaya aasmaan Jaaneman, jaanejaan, tumne mujhe dekha 7. O.P.NAYYAR (Phir Wohi Dil Laaya Hun) Aanchal me sajalena kaliyaan, zulphon me sitaare bhar lena Aise kabhi jab shaam DHale, tab yaad hume bhi kar lena Aachal me sajalena kaliyaan 8. SHANKER-JAIKISHAN (Dil ek Mandir)[Yes, I do give Shanky-J their due credit!] Yaad na jaae, beete dinon ki Jaake na aae jo din Dil kyun bulaae unhe Dil kyun bulaae 9. LAXMIKANT-PYAARELAL (Dosti) Chahunga main tujhe saanjh sawere Phir bhi kabhi ab naam ko tere Aawaaz main na doonga Aawaaz main na doonga Chahunga main tujhe saanjh sawere 10. KALYANJI-ANANDJI (ChhoTi Bahu) Ye raat hai pyaasi pyaasi Pyaasi na guzar jaae Tum baahon me aajaao Ya waqt THehar jaae Ye raat hai pyaasi pyaasi There are some other very good MD's whom I have not ranked because they were not so prolific as the above. They are listed below (not in any particular order): 11. SALIL CHAUDARY (Maya) Koi sone ke dilwaala, koi chandi ke dilwaala Sheeshe ka hai matwaale tera dil Mehfil ye nahin teri, diwane kahin chal 12. KHAYYAM (Shola aur Shabnam) Jaane kya DHoonDti rehti hain ye aankhen mujhme Raakh ki DHer me shola hai na chingari hai 13. JAIDEV (Hum Dono) Kabhi KHud pe kabhi haalaat pe rona aaya Baat nikli to har ek baat pe rona aaya 14. RAVI (Aaj aur Kal) Ye waadiyan, ye fizaaen bula rahin hain tumhe KHamoshion ki sadaaen bula rahin hain tumhe 15. GHULAM MOHAMMED (Mirza GHalib) Hia bas ki har ik unke ishaare me nishaan aur Karte hain mohabbat to guzarta hai gumaan aur 16. N. DUTTA (Chandrakanta) Maine chand aur sitaron ki tamanna ki thi Mujhko raaton ki siahee ki siva kuch na mila Maine chand aur sitaron ki tamanna ki thi 17. S.N.TRIPATHI (Lal Quila) Na kisiki aankh ka noor hun Na kisike dil ka quaraar hun Jo kisike kaam na aa sake Main woh ek mushq-e-GHubaar hun 18. HANSRAJ BEHL (Chengiz Khan) Khol aankhen apne Khwab-e-naaz se Jaag mere pyaar ki aawaaz se Zindagi betaab hai tere lie Aa gale lagja usi andaaz se Mohabbat zinda rehti hai, mohabbat mar nahin sakti Aji insaan kya ye to, KHuda se Dar nahin sakti 19. SONIK OMI (Mahua) Dono ne kiya tha pyaar magar, mujhe yaad raha tu bhool gaee Maine tere lie re jag chhoRa, tu mujhko chhoR chali 20. CHITRAGUPT (Bhabi) Chal uRja re panchhi ke ab ye des hua begaana Chal uRja re panchhi ke ab ye des hua begaana 21. RAMLAL (Sehra) Taqdeer ka fasana, jaakar kise sunaaen Is dil me jal rahi hai, armaan ki chitaaen Taqdeer ka fasana 22. Usha Khanna (Hawas) Teri galiyon me na rakhenge quadam, aaj ke baad Tere milne ko na aaenge sanam, aaj ke baad 23. RAVINDRA JAIN (Kaanch aur Heera) Nazar aati nahin manzil, taRapne se bhi kya haasil Taqdeer me ai mere dil, andhere hi andhere hain 24. PREM DHAWAN (Raat ke Andhere Me) Agar bewafa tujhko pehchaan jaate, KHuda ki qasam hum mohabbat na karte Jo maalum hota ye anjaam-e-ulfat to, dil ko lagane ki jurrat na karte 25. SHYAMJI GHANSHYAMJI (THokar) Apni aankhon me basakar koi iqraar karun Ji me aata hai ke, ji bhar ke tujhe pyaar karun Apni aankhon me basakar koi iqraar karun 26. VASANT DESAI (Goonjh UTHi Shehnai) Maine peena seekh liya, maine jeena seekh liya Paap kaho ke punya kaho, maine peena seek liya