Path: Lehigh.EDU!Lehigh.EDU!sm0e From: sm0e@Lehigh.EDU (SAMIUDDIN MOHAMMED) Newsgroups: rec.music.indian.misc Subject: CHHAYA GEET #27: Rafi ki yaad me Date: 31 Jul 1995 19:13:41 GMT Organization: Lehigh University Lines: 215 Distribution: world Message-ID: <3vja15$1422@fidoii.cc.lehigh.edu> NNTP-Posting-Host: ihb103h.cc.lehigh.edu Keywords: Rafi, chhaya geet RMIM ke bhaio aur baheno, This is #27 of a series based on the famous Vividh Bharathi radio program "Chhaya Geet" in which songs based on a particular theme are played. This series serves to corroborate the "Naushad fan postulate" which states that for every REAL life situation, there exists atleast one REAL song which can be sung in your IMAGINARY world ! :-) This series is also a small tribute to my favourite Vividh Bharathi announcer and Chhaya Geet hostess Kanta Gupta. CHHAYA GEET #27 TODAY'S SITUATION/THEME: Today's Chhaya Geet is a special, dedicated to the memory of my favourite singer MOHAMMED RAFI on the occasion of his 15th death anniversary. ******** RAFI Sings for Different Lyricists ******** Despite ruling the playback singing world for several decades, Rafi Sahab was a very modest man. No music director or lyricist was too small for him. It is known that Rafi Sahab decreased his fee by tremendous proportions for those producers/music directors who couldn't afford his price. It is therefore no surprise that Rafi has sung for a large number of music directors, and the works of many different lyricists. Last year, on the occaision of Rafi Sahab's 14th death anniversary, I had posted a cGeet listing his songs sung under the direction of 25 different music directors. Today's cGeet is composed of Rafi songs written by 30 different lyricists. The previous cGeets of this series can be accessed via the WWW in my film music home page at URL: http://www.lehigh.edu/sm0e/public/www-data/sami.html Sami Mohammed (A MOHAMMED RAFI fan) 1. SAHIR LUDHIANWI (Hum Dono) Kabhi KHud pe, kabhi haalaat pe rona aaya Baat nikli to har ek baat pe rona aaya 2. KAIFI AZMI (Shola aur Shabnam) Jaane kya DHoonDti rehti hain ye aankhen mujhme Raakh ki DHer me shola hai na chingari hai 3. SHAKEEL BADAYUNI (Dil Diya Dard Liya) Koi saaGHar dil ko behlaata nahin BeKHudi me bhi quaraar aata nahin 4. RAJENDER KRISHAN (Adalat) Kisiki yaad me duniya ko hai bhulaae hue Zamaana guzra apna quayaal aae hue 5. MAJROOH SULTANPURI (Mere Humdum Mere Dost) Hui shaam unka quayaal aa gaya Wohi zindagi ka quayaal aa gaya 6. GULZAR (Sima) Jab bhi ye dil udaas hota hai Jaane kaun aaspaas hota hai 7. HASRAT JAIPURI (Raajhaath) Aae bahaar banke lubhakar chale gae Kya raaz thha jo dil me chhupakar chale gae 8. SHAILENDRA (Madhumati) TooTe hue KHwaabon ne, humko ye sikhaya hai Dil ne jise paaya thha, aankhon ne ganwaya hai 9. RAJA MEHDI ALI KHAN (Mera Saaya) Aapke pehlu me aake ro die Daastan-e-GHam sunaake ro die 10. ANAND BAKSHI (Khilona) Ho, khilona jaankar tum to mera dil toRjaate ho Mujhe is haal me kiske sahaare chhoRjaate ho 11. NEERAJ (Naee Umar ki Naee Fasal) Swapne jhaRe phool se, meet chube shool se LuT gae shringaar sabhi baaGH ke babool se Aur hum khaRe khaRe bahaar dekhte rahe Kaarwaan guzar gaya, GHubaar dekhte rahe 12. ANJAAN (Bahaaren Phir bhi Aaengi) Aapke hasin ruqh pe aaj naya noor hai Mera dil machal gaya to mera kya KHusoor hai 13. INDIVAR/FAROOQ QAISER (Parasmani) Roshan tumhi se duniya, raunaq tumhi jahan ki Phoolon me palnewaali, rani ho gulsitan ki Salamat raho, salamat raho... 14. S.H. BIHARI (Kashmir ki Kali) Hai duniya usiki, zamaana usika Mohabbat jo ho gaya ho kisika 15. SHEVAN RIZWI (Humsaaya) Dilki aawaaz bhi sun mere fasaana pe na ja Meri nazron ko taraf dekh zamaane pe na ja Dilki aawaaz bhi sun 16. KAMAL AMROHI (Shankar Hussain) Kahi ek maasoom naazuk si laRi Bahut KHoobsoorat magar sanwli si... 17. BAHADUR SHAH ZAFAR (Lal Quila) Na kisiki aankh ka noor hun Na kisike dil ka quaraar hun Jo kisike kaam na aa sake Main woh ek musht-e-GHubaar hun 18. MIRZA GHALIB (Mirza GHalib) Hai bas ke har ek unke ishaare me nishaan aur Karte hain mohabbat to guzarta hai gumaan aur 19. QAMAR JALALBADI (Mahua) Dono ne kiya tha pyaar magar, mujhe yaad raha tu bhool gaee Maine tere lie re jag chhoRa, tu mujhko chhoR chali 20. ASAD BHOPALI (Ustaadon ke Ustaad) Sau baar janam lenge, sau baar panah honge Ai jaan-e-wafa phir bhi, hum tum na juda honge 21. SHAMIM JAIPURI (Raaz) Akele hain chale aao jahan ho Kahan aawaaz den tumko kahan ho Akele hain chale aao jahan ho 22. SAWAN KUMAR (Hawas) Teri galiyon me na rakhenge quadam, aaj ke baad Tere milne ko na aaenge sanam, aaj ke baad 23. RAVINDRA JAIN (Kaanch aur Heera) Nazar aati nahin manzil, taRapne se bhi kya haasil Taqdeer me ai mere dil, andhere hi andhere hain 24. PREM DHAWAN (Raat ke Andhere Me) Agar bewafa tujhko pehchaan jaate, KHuda ki qasam hum mohabbat na karte Jo maalum hota ye anjaam-e-ulfat to, dil ko lagane ki jurrat na karte 25. SAJAN DEHLVI (THokar) Apni aankhon me basakar koi iqraar karun Ji me aata hai ke, ji bhar ke tujhe pyaar karun Apni aankhon me basakar koi iqraar karun 26. BHARAT VYAS (Goonjh UTHi Shehnai) Maine peena seekh liya, maine jeena seekh liya Paap kaho ke punya kaho, maine peena seek liya 27. VERMA MALIK (Samjhauta) BaRi door se aae hain pyaar ka tohfa laae hain Apnalo ya THukraado pyaar ka tohfa laae hain 28. GULSHAN BAWRA Hasin waadio, bahaaron se kehdo, nazaaron se kehdo Mera yaar, mera pyaar leke aaya hai 29. G.L. RAWAL (Dil Ne Phir Yaad Kiya) Kalion ne ghungat khole, har phool pe bhanwra Dole Lo aaya pyaar ka mausam, gul-o-gulzaar ka mausam Khalion ne ghungat khole... 30. JAVED ANWAR (Shabnam) Maine rakhha hai mohabbat apne afsaane ka naam Tum bhi kuchh accha sa rakhdo apne diwaane ka naam Sami Mohammed (A Naushad fan).... and a hard-core RAFIan! ******************************************************************************* Lines for the day: Bas aaqri sun le, ye mail hai apna Bas quatm ai saathi, ye khel hai apna Ab yaad me teri beet jaaenge ro ro ke Jeevan ke din char, KHush rehna mere yaar Anand Bakshi in "Nafrat ki duniya ko chhoRke pyaar ki duniya me, KHush rehna mere yaar...." *******************************************************************************