Path: Lehigh.EDU!Lehigh.EDU!sm0e From: sm0e@Lehigh.EDU (SAMIUDDIN MOHAMMED) Newsgroups: rec.music.indian.misc Subject: CHHAYA GEET #28: The Mohabbat FAQ Date: 9 Jan 1996 01:59:29 GMT Organization: Lehigh University Lines: 212 Distribution: world Message-ID: <4csi61$22to@fidoii.cc.lehigh.edu> NNTP-Posting-Host: wh457f.cc.lehigh.edu Keywords: chhaya geet, faq RMIM ke bhaio aur baheno, It's been a while since the previous cGeet was posted. This is #28 of a series based on the famous Vividh Bharathi radio program "Chhaya Geet" in which songs based on a particular theme are played. This series serves to corroborate the "Naushad fan postulate" which states that for every REAL life situation, there exists atleast one REAL song which can be sung in your IMAGINARY world ! :-) This series is also a small tribute to my favourite Vividh Bharathi announcer and Chhaya Geet hostess Kanta Gupta. All the previous cGeets can be accessed thro' my music page: http://www.lehigh.edu/sm0e/public/www-data/sami.html CHHAYA GEET #28 TODAY'S SITUATION/THEME: RMIM has seen many FAQs (Frequently Asked Questions). Prince and Sats post the RMIM FAQ, the mini-FAQ, the automailer FAQ etc. We've seen the ITRANS FAQ and recently, Anurag posted the ISB FAQ. Preeti had posted a series of mock FAQs in his unique style. Well, here's the Mohabbat FAQ. It is the only FAQ which sticks to its definition 'cause it lists the questions exclusively without providing the answers. Before anyone asks as to how I got around to compiling this FAQ, let me quote Lou Grant from the Mary Tyler Moore show: "You don't have to be a whale to write Moby Dick" :-) I've picked film songs that have mohabbat-related Q's. Sami Mohammed (A Naushad fan) ******* The Mohabbat FAQ ****** 1. The curious cats need to know what mohabbat is: 1.1 Mohabbat hai kya cheez humko bataao Ye kisne shuru ki, hume bhi sunaao..................(Suresh Wadkar/Lata) 1.2 Woh paas rahe ya door rahe nazron me samaae rehte hain Itna to bataade koi hume, kya pyaar isiko kehte hain ..........(Suraiyya) 1.3 Kya yehi pyaar hai Dil tere bin kahin lagta nahin, waqt guzarta nahin Kya yehi pyaar hai.............................................(Lata/KK) 2. Questions of the "Dream" Team: 2.1 KHwaab ho tum ya koi haqueequat kaun ho tum batlaao Der se kitni door khaRi ho, aur quarib aa jaao ..................(KK) 2.2 Jiske sapne roz hume aate rahe, dil lubaate rahe Ye bataado kahin tum wohi to nahin, wohi to nahin...........(mKaps/Lata?) 2.3 Kaun hai jo sapnon me aaya, kaun hai jo dil me samaaya Lo jhuk gaya aasmaan bhi, ishq mera rang laaya O priya, aaaa......................................................(Rafi) 3. Wherefore art thou ?? 3.1 Aawaaz de kahan hai, duniya meri jawaan hai Aabaad mere dil me ummeed ka jahan, duniya meri jawaan hai Aawaaz de kahan hai..................................(Noorjehan/Surendra) 3.2 Tu kahan ye bata, is nashili raat me Maane na mera dil diwana.........................................(Rafi) 3.3 Jaanejan DHoonDta phir raha, hun tumhe raat din, main yahan se wahan Mujhko aawaaz do, chhup gae ho sanam, tum kahan.................(KK/Asha) 3.4 Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai Kahan ho tum ke ye dil, bequaraar aaj bhi hai............(Asha/Bhupendra) 4. Strange phenomena 4.1 Milo na tum to hum ghabraaen Milo to aankh churaaen Hume kya ho gya hai, hume kya ho gaya hai Tumhi ko dil ka raaz bataaen Tumhi se raaz chhupaaen, hume kya ho gaya hai......................(Lata) 4.2 Mera paRne me nahin laage dil, kyun Arre ye kya paR gaee mushkil, hmm Arre raat bhi sooni sooni laage Aur din bhi soona soona laage Koi ye to batade mujhe WOH to nahin ho gaya.........................(Lata) 4.3 Seene me jalan, aankhon me toofaan sa kyun hai Is shehar me, har shaqs pareshaan sa kyun hai ............(Suresh Wadkar) 4.4 Koi bataade dil hai jahan, kyun hota hai dard wahan Teer chalake ye to na poochho, dil hai kahan aur dard kahan...(Rafi/Lata) 5. The tough ones! "In pareshaan sawalaat ki queemat kya hai" ? 5.1 Man re tu kaahe na dheer dhare Woh nirmohi moh na jaane Jinka moha kare Man re tu kaahe na dheer dhare.....................................(Rafi) 5.2 Jaane kya DHoonDti rehti hai ye aankhen mujhme Raakh ki DHer me, shola hai na chingari hai........................(Rafi) 5.3 Woh dil kahaan se laaun, teri yaad jo bhulaade Mujhe yaad aanewaale koi raasta bataade Woh dil kahaan se laaun, teri yaad jo bhulaade.....................(Lata) 5.4 Jise tu qubool karle, woh ada kahan se laaun Tere dil ko jo lubhaale, woh sada kahan se laaun...................(Lata) 5.5 Duniya kare sawaal to hum, kya jawaab den Tum ko na ho quayaal to hum, kya jawaab den........................(Lata) 5.6 Baat adhuri kyun hai, baat adhuri kyun hai Hum tum itne paas hain phir bhi, itni doori kyun hai Baat adhuri kyun hai...............................................(Asha) 5.7 Ye dil tum bin kahin lagta nahin, hum kya karen Tasavvur me koi jachta nahin, hum kya karen..................(Lata/Rafi) 6. The DIRECT speech 6.1 Main tumhi se poochhti hun, mujhe tumse pyaar kyun hai Kabhi tum daGHa na doge, ye aitbaar kyun hai.................(Lata/Rafi) 6.2 Yunhi tum mujhse baat karti ho Ya koi pyaar ka iraada hai ...................................(Lata/Rafi) 6.3 Ishaaron ishaaron me dil lenewaale Bata ye hunar tune seekha kahan se............................(Asha/Rafi) 6.4 Jahan main jaati hun wahin chale aate ho Chori chori mere dil me samaate ho Ye to bataao ke tum, mere kaun ho........................(Lata/Manna Dey) 7. Yo dil! What's up ? 7.1 Ai dil kahan teri manzil Na koi deepak hai, na koi taara Chup hai zamin, gum aasmaan Ai dil kahan teri manzil.........................(Dwijen Mukherji/Lata) 7.2 Ai dil mujhe bataade, tu kis pe aa gaya hai Woh kaun hai jo aakar, aankho pe chha gaya hai.............(Geeta Dutt) 7.3 Bol naadaan dil, tujhko kya ho gaya Tu mere paas thha, tu kahan kho gaya Bol naadaan dil, hai hai hai.....................................(Asha) 7.4 Mere ai dil bata, mere ai dil bata Pyaar tune kiya, paaee maine saza Kya karun kya karun...............................................(Lata) 7.5 Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai Aaquir is marz ki dawa kya hai..........................(Suraiyya/Talat) 7.6 Ai dil-e-naadaan, ai dil-e-naadaan Aarzoo kya hai, justaju kya hai..................................(Lata) 8. Grand arrivals 8.1 Ye kaun aaya roshan ho gaee mehfil kis ke naam se Mere ghar me jaise sooraj nikla ho shaam se Ye kaun aaya......................................................(Lata) 8.2 Kaun aaya ke nigaahon me chamak jaag uTHi Dil ke soe hue taaron me khanak jaag uTHi Kaun aaya..........................................................(Asha) 8.3 Kaun aaya mere man ke dwaare, paayal ki jhankaar lie Kaun aaya.....................................................(Manna Dey) 9. The confused state 9.1 Ai GHam-e-dil kya karun, ai wehshat-e-dil kya karun Kya karun, kya karun Ai GHam-e-dil kya karun..........................................(Talat) 9.2 Bhari duniya me aaquir dil ko samjhaane kahan jaaen Mohabbat ho gaee jinko, woh diwaane kahan jaaen...................(Rafi) 9.3 Jaaun kahan bata ai dil, duniya baRi hai sangdil Chandni aaee ghar jalaane, soojhe na koi manzil Jaaun kahan bata ai dil..........................................(Mukesh) 9.4 Jaaen to jaaen kahan Samjhega, kaun yahan Dard bhare, dil ki zubaan Jaaen to jaaen kahan........................................(Talat, Lata) 10. The grand finale 10.1 Is zamaane me, is mohabbat ne Kitne dil toRe, kitne ghar phoonke Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain Dil ke badle dard-e-dil liya karte hain Jaane kyun log mohabbat kiya karte hain............................(Lata) Sami Mohammed (A Naushad fan)....... on his way home thro' 25" of snow :-( ******************************************************************************* Lines for the day: Sunaana bhi jinhe mushkil, chhupaana bhi jinhe mushkil Zara tu hi bata ai dil, woh afsaane kahan jaaen Shakeel Badayuni in "Bhari duniya me aakhir dil ko samjhaane kahan jaaen..." *******************************************************************************