*** BEAUTIFUL LINES FROM FILM SONGS *** Thanks to lyricists such as Sahir Ludhianwi, Kaifi Azmi, Shakeel Badayuni and Gulzar, Urdu/Hindi film songs often have some beautiful lines with deep meaning. Here is a collection of some nice lines from film songs. I usually append such lines to my posts on RMIM. Hope u'll enjoy them. The names of movies are shown in brackets. Sami Mohammed (A Naushad fan) 1. Hum to samjhe thhe ke hum bhool gae hain unko Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya Sahir in "Kabhi KHud pe kabhi haalaat pe rona aaya...." (Hum Dono) 2. Lamba safar ho, chhoTa safar ho, sooni dagar ho ya mela Yaad tu aae, man ho jaae, bheeRh ke beech akela Neeraj in "Phoolon ke rang se, dil ki kalam se...." (Prem Pujari) 3. Itna dilkash hai ye roohon ka safar Paaon kaanTon par, hai phoolon par nazar Kaifi Azmi in "Tumse bichhaRke chaen kahan hum paaenge...." (Hindustan ki Qasam ?) 4. Sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo Pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam na do Gulzar in "Humne dekhi hain un aankhon ki mehakti qushboo...." (KHamoshi) 5. UTHe janaza jo kal humara, qasam hai tumko na dena kaandha Shakeel Badayuni in "KHuda nigehbaan ho tumhaara dhaRakte dil ka payaam lelo.." (Moghul-e-Azam) 6. Lo aaj humne toRdi rishta-e-ummeed Lo ab gila karenge na kisise hum Sahir in "Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum...." (Pyaasa) 7. Koi daawa nahin, faryaad nahin, tanz nahin Rehm jab apne pe aata hai to hansleta hun Nyaya Sharma in "Jab GHam-e-ishq satata hai to hansleta hun...." (Kinare Kinare) 8. Zeh naseeb ata ki jo dard ki sauGHaat Woh GHam haseen hai jis GHam ki zimmedaar ho tum Kaifi Azmi in "DhaRakte dil ki tamanna ho mera pyaar ho tum...." (Shama) 9. Jeevan ke safar me raahi, milte hain bichhaRjaane ko Aur de jaate hain yaaden, tanhaii me taRpaane ko Sahir in Munimji 10. Kya quabar thhi ke mile hain to bichhaRne ke lie Qismaten apni banaaee thhi bigaRne ke lie Pyaar ka baaGH basaya thha ujaRne ke lie Is tarah ujRa ke phir humse basaya na gaya Rajender Krishn in "Humse aaya na gaya, tumse bulaya na gaya..." (Dekh Kabira Roya) 11. Mohabbat kar to len lekin mohabbat raas aae bhi Dilon ko bojh lagte hain kabhi zulfon ke saae bhi Hazaaron GHam hai is duniya me apne bhi paraae bhi Mohabbat hi ka GHam tanha nahin hum kya karen Sahir in "Ye dil tum bin kahin lagta nahin hum kya karen..." (??) 12. Aaj bichhRe hain kal ka Dar bhi nahin Zindagi itni muqtasar bhi nahin Gulzar in Thodisi Bewafai 13. GHam aur KHushi me farq na mehsoos ho jahan Main dil ko us muquaam pe laata chala gaya Sahir in "Main zindagi ka saath nibhata chala gaya...." (Hum Dono) 14. Ulfat ke nae diwaano ko kis tarah se koi samjhaae Nazron pe lagi hai paabandi, deedar ki baaten karte hain Shakeel Badayuni in "Ai ishq ye sab duniyawaale bekaar ki baaten karte hain..." (Moghul-e-Azam) 15. Aag me phoolon ki duniya me mera tan rakh diya Ek murde ko sajakar, naam dulhan rakh diya Shakeel Badayuni in "Aasmaanwaale teri duniya se jee ghabragaya...." (Laila Majnu, old) 16. Chand milta nahin sabko sansaar me Hai diya hi bahot roshni ke lie Indivar in "ChhoRde saari duniya kisike lie, ye munasib nahin aadmi ke lie..." (Saraswati Chandra) 17. Aur hum jhuke jhuke, moR par ruke ruke Umr ke chaRaao ka utaar dekhte rahe Neeraj in "Kaarwan guzar gaya, GHubaar dekhte rahe..." (Nai Umar ki Naee Fasal) 18. Tum na jaane kis jahaan me kho gae Hum bhari duniya me tanha ho gae Sahir in Saza 19. Dilki naazuk ragen TooT-ti hain Itna bhi na koi yaad aae Kaifi Azmi in "Aaj sonch to aansu bhar aae..." (Hanste Zaqm) 20. Har pal man mera mujhse kehta hai Jiski dhun me tu khoya rehta hai Bharde phoolon se, uska daaman Yogesh in "Aaae tum yaad mujhe, gaane lagi har dhaRkan...." (Mili) 21. Ajnabi si ho magar GHair nahin lagti ho Wahem se bhi jo ho naazuk woh yaqueen lagti ho Sahir in "Maine shaaed tumhe, pehle bhi kahin dekha hai..." (Barsaat ki Raat) 22. Mere lie sehar bhi aaee hi raat bankar Nikla mera janaaza, meri baraat bankar Achha hua jo tumne, dekha na ye nazaara, haafiz KHuda tumhara Shakil Badayuni in "Guzra hua zamaana, aata nahin dubaara..." (??) 23. Shaaqh se TooTke GHunche bhi kabhi khilte hain Raat aur din bhi zamaane me kabhi milte hain Bhoolja jaane de taqdir se takraar na kar Indivar in "Main to ek khwaab hun, is khwaab se tu pyaar na kar...." (??) 24. Tujhse naaraaz nahin zindagi hairaan hun main Tere maasoom sawaalon se pareshaan hun main Gulzar in Maasoom 25. Tanha na kaT sakenge jawaani ke raaste Pesh aaegi kisiki zaroorat kabhi kabhi Sahir in "Milte hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi...." (Aankhen) 26. Main koi pathhar nahin insaan hun Kaise kehdun GHam se ghabraata nahin Shakeel Badayuni in "Koi saaGHar dil ko behlaata nahin..." (Dil Diya Dard Liya) 27. Tumhine GHam ki daulat di baRa ehsaan farmaaya Zamaane bhar ke aage haath phehlaane kahan jaatae Shakeel Badayuni in "Na milta GHam to barbaadi ke afsaane kahan jaate..." (Amar) 28. Kitne jalwe phizaon me biqre magar Maine abtak kisiko pukara nahin Tumkho dekha to nazren ye kehne lagi Humko chehre se haTna gawara nahin Sahir in "Tum agar saath dene ka waado...." (Gumraah/Hamraaz) 29. Woh to kahin hai aur magar dil ke paas Phirti hai koi sheh nigaah-e-yaar ki tarah Majrooh in "Hum hai mata-e-koocha-o-baazaar ki tarah...." (Dastak, old) 30. Behlaae jab dil na behle, to aise behlaae GHam hi to hai pyaar ki daulat, ye kehkar samjhaae Rajendra Krishan in "Hum pyaar me jalnewaalon ko chaen kahan...." (Jailer) 31. Mohabbat jo ki ho to faryaad na kar Mohabbat pe ilzaam aane na paae Rajendra Krishn in "Mohabbat me aise zamaane bhi aae, kabhi ro diye hum kabhi muskuraae..." (Sagaai) 32. Unka aana, unka jaana khel thha taqdeer ka KHwaab thhe woh zindagi ke, din jo guzre pyaar me Maalik tere sansaar me... Le gae woh saath apne saaz bhi aawaaz bhi Reh gaya naGHma adhura, dil ke tooTe saaz me Maalik tere sansaar me... Shakeel Badayuni in "Mar gae hum jeeteji Maalik tere sansaar me...." (Shabaab, my fav. Naushad movie) 33. Dilse teri mohabbat kam umr bhar na hogi Hum tujhpe mar miTenge, tujhko quabar na hogi Marne ke baad hoga, charcha teri gali me Marna teri gali me.... Shakeel Badayuni in "Marna teri gali, jeena teri gali me...." (Shabaab, my fav. Naushad movie) 34. Kehneko bahut kuch thha agar kehne pe aate Kuch aisi hi haalat hai ke hum kuch nahin kehte Rajendra Krishan in "Unko ye shikayat hai ke hum kuchh nahin kehte...." (Adalat) 35. Murjha chuka hai phir bhi ye dil phool hi to hai Ab aapki KHushi ise kaanTon me tolie KHud dil se dil ki baat kahi aur rolie Rajendra Krishan in "Yun hasraton ke daaGH mohabbat me dholie..." (Adalat) 36. KHabar kya thhi honTon ko seena paRega Mohabbat chhupaake bhi jeena paRega Jie to magar zindagaani pe roe Shakeel Badayuni in "Mohabbat ki jhooTHi kahaani pe roe..." (Moghul-e-Azam) 37. Ye dil ka dard nigaahon ki pyaas dhoka hai Zamin pe rehke sitaaron ki aas dhoka hai Satyendra in "Samaake dilme humaare zara quayaal rahe..." (Anhonee) 38. Rooh main jal uTHi bujhti hui yaadon ke die Kitne diwaane thhe hum aapko paane ke lie Yun to kuch kam nahin jo aapne ehsaan kie Par jo maange so, na paaya, woh sila yaad aaya Kitne bhoole hue zaqmon ka pata yaad aaya Sahir in "Aap aae to quayaal-e-dil-e-nashaad aaya...." (Gumraah/Hamraaz) 39. GHaraz-parast jahaan me wafa talaash na kar Ye sheh bani thhi kisi doosre jahaan ke lie Sahir in "Na tu zamin ke lie, hai na aasmaan ke lie..." (Dastaan) 40. Is dilse aa rahi hai kisi yaar ki sada Veeraana mera dil thha basaate chale gae Hasrat Jaipuri in "Unke quayaal aae to aate chale gae..." (Lat Pathhar) 41. Itna mujhe bataao mere dil ki dhaRkano Woh kaun thhe jo KHwaab dikhakar chale gae Hasrat Jaipuri in "Aae bahaar banke lubhakar chale gae..." (Rajhath) 42. Dilke mere paas ho itne phir bhi ho kitni door Tum mujhse main, dil se pareshan, dono hai majboor Aise me kisko KAUN manaae Shailendra in "Din DHal jaae hai, raat na jaae..." (Guide) 43. Main nadiya phir bhi main pyaasi Bhed ye gehra, baat zarasi Shailendra in "Aaja re pardesi...." (Madhumati) 44. Na jaane kaunsa pal maut ki amaanat ho Har ek palki KHushi ko gale lagaake jio Sahir in "Na mun chhupaake jio, aur na sar jhukaake jio..." (Gumraah/Hamraaz) 45. Dil hai to dhaRakne ka bahaana koi DHunDe Pathhar ki tarah, behis-o-bezaar sa kyun hai Shehryaar in "Seene me jalan aankhon me toofan sa kyun hai.." (Gaman) 46. Ye kis muquaam par hayaat mujhko leke aa gaee Na bas KHushi pe hai yahan, na GHam pe iqtiyaar hai Shehryaar in "Ye kya jageh hai dosto, ye kaunsa dayaar hai..." (Umraao Jaan) 47. Tumhi phoonk dete nasheman humaara Mohabbat pe ehsaan hota tumhaara Zamaane se koi shikayat na hoti Shakeel Badayuni in "Hume kaash tumse mohabbat na hoti..." (Moghul-e-Azam) 48. Tujhko ruswa na kiya, KHud bhi pasheman na hue Ishq ki rasm ko kuchh is tarah nibhaaya humne Shehryaar in "Justaju jiski thhi usko to na paaya humne..." (Umraao Jaan) 49. Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun Sahir in "Jise tu KHubool karle woh sadaa kahan se laaun..." (Devdas) 50. Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin Use ek KHoobsoorat moR dekar chhoRna achha Sahir in "Chalo ek baar phirse ajnabi ban jaaen hum dono...." (Gumraah/Hamraaz)