*** Kalaam-e-Sahir *** I am a BIG fan of the famous lyricist, Sahir Ludhianwi. I consider him to be the best lyricist of the film industry due a number of reasons. The question why I like Sahir can best be answered by presenting some of his lyrics. Here is a collection of some beautiful lines from Sahir's songs. I hope you will all enjoy them. Sami Mohammed (A Naushad fan).... and a Sahir FANdamentalist! 1. Ro ro ke inheen raahon me, khona paRa ek apne ko Hans hans ke inhin raahon me, apnaaya thha begaane ko From "Jeevan ke safar me raahi milte hain bichhaRjaane ko..." (Munimji) 2. Humne dil de bhi diya, ahd-e-wafa le bhi liya Aap ab shauq se, delen jo saza dete hain From "Jurm-e-ulfat pe hum log saza dete hain..." (Taj Mahal) 3. Chehre pe KHushi chhaa jaati hai, aankhon me suroor aa jaata hai Jab tum mujhe apna kehte ho, apne pe GHuroor aa jaata hai Hum paas se tumko kya dekhen, tum jab bhi muquaabil aate ho Betaab nigaahon ke aage, parda sa zaroor aa jaata hai From Waqt 4. Hum to samjhe thhe ke hum bhool gae hain unko Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya From "Kabhi KHud pe, kabhi haalaat pe rona aaya..." (Hum Dono) 5. Niklete thhe kahaan jaane ke lie, pahunche hai kahaan maalum nahin Ab apne bhaTakte quadmon ko, manzil ka nishaan maalum nahin Barbaad wafa ka afsaana hum kis se kahen aur kaise kahen KHaamosh hain lab aur duniya ko, ashkon ki zubaan maalum nahin Dil shola-e-GHam se KHaak hue ya aag lagi armaanon me Kya cheez jali kyun seene se, uTHta hai dhuaan maalum nahin Humne bhi kabhi is gulshan ek KHwaab-e-bahaaran dekha thha Kab phool jhaRe, kab gard uDi, kab aaee quizaan maalum nahin From Bahu Begum 6. Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai Jo saaz pe guzri hai woh kis, dil ko pata hai From "Ashkon me jo paaya hai, woh geeton me diya hai..." (Chandi ki Diwaar) 7. Ye mere sher mere aaqri nazraane hai Main un apnon me hun, jo aaj se begaane hai Ye taaluq ki mulaquaat kise pesh karun Ye muraadon ki hasin raat kise pesh karun From "Rang aur noor ki baaraat kise pesh karun..." (GHazal) 8. Garm saanson se chhupe raaz bataaun kisko Narm honTon me dabi baat kise pesh karun From "NaGHma-o-sher ki sauGHaat kise pesh karun...." (GHazal) 9. Tera quayaal teri tamanna lie hue Dil bujh raha hai aas ka shola lie hue Hairaan khaRi hue hai doraahe pe zindagi Naakaam hasraton ka janaaza lie Ab aise me tujhko, DHoonDke laaun kahan se me From "Waaquif hum KHoob ishq ke tarz-e-bayaan se main..." (Bahu Begum) 10. Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi Tu bataade ke tujhe pyaar karun ya na karun From Sone ki ChiRiya 11. Kisike manaane me lazzat woh paee Ke phir rooTHjaane ko ji chaahta hai From "Nigahen milaane ko ji chaahta hai..." (Dil Hi To Hai) 12. Ro ro ke tumhe KHat likhti hun, aur KHud paRkar ro leti hun Haalaat ke tapte toofaan me, jazbaat ki kashti KHeti hun Kaise ho kahan ho kuchh to kaho, main tum ko sadaaen deti hun From "Main jab bhi akeli hoti hun...." (Dharmaputra) 13. Mandiron me shank baaje, masjidon me ho azaan SheiKH ka dharm aur deen-e-barhaman aazaad hai From "Ab koi gulshan na ujRe, ab watan aazaad hai..." (Mujhe Jeene Do...) 14. GHam aur KHushi me farq na mehsoos ho jahan Main dil ko us muquaam pe laata chala gaya Barbaadion ka sog manaana fuzool thha Barbaadion ka jashn manaata chala gaya From "Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya..." (Hum Dono) 15. Hum hi naadaan thhe jo oRa, beeti yaadon ka kafan Varna jeene ke lie sab kuchh, bhula lete hain log From "Jab bhi ji chaahe naee duniya basalete hain log..." (DaaGH, new) 16. Ajnabi si ho, magar GHair nahin lagti ho Wahem se bhi, jo ho naazuk, woh yaquin lagti ho From "Maine shaed tumhe, pehle bhi kahin dekha hai..." (Barsaat ki Raat) 17. Kya KHaak woh jeena hai jo apne hi lie ho KHud miTke kisi aur ko miTne se bacha le Apne pe bharosa hai to ek daauv lagale From "Taqdeer se bigRi hui tadbeer banale..." (Baazi) 18. PalaTke su-e-chaman dekhne se kya hoga Woh shaaq hi na rahin, jo thhi aashiaan ke lie GHarazparast jahaan me, wafa talaash na kar Ye sheh bani thhi kisi doosre jahaan ke lie From "Na tu zamin ke lie, hai na aasmaan ke lie..." (Daastan) 19. Lo aaj humne toRdiya rishta-e-umeed Lo ab gila karenge na kisi se hum From "Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum..." (Pyaasa) 20. Mohabbat kar to len lekin, mohabbat raas aae bhi Dilon ko bojh lagte hain, kabhi zulphon ke saae bhi Hazaaron GHam hai is duniya me, apne bhi paraae bhi Mohabbat hi ka GHam tanha nahin, hum kya karen From "Ye dil tum bin kahin lagta nahin hum kya karen..." (Izzat) 21. Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun From "Jise tu KHubool karle woh sadaa kahan se laaun..." (Devdas) 22. Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi UTHegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi Main jaanta hun ke tu GHair hain magar yunhi Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai From Kabhi Kabhi 23. GHalat saare daawe, GHalat saari quasmen Nibhengi yahaan kaise, ulfat ki rasme Yahaan zindagi hai, rivaajon ke base Rivaajon ko tum toRna chaahte ho BaRe nasamajh ho, ye kya chahte ho From "Tere pyaar ka aasra chahta hun..." (Dhool ka Phool) 24. Arre O Aasmaanwaale bata isme bura kya hai KHushi ke chaar jhonke gar, idhar se bhi guzar jaaen From "Teri duniya me jeene se, to behtar hai ke mar jaaen..." (House #44) 25. Mere dil ki mere jazbaat ki queemat kya hai Uljhe uljhe se quayalaat ki queemat kya hai Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya In pareshan sawalaat ki queemat kya hai Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai From "Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko..." (Didi) 26. Maana ke abhi tere mere, in armaanon ki queemat kuchh bhi nahin MiTTi ka bhi hai kuchh mol magar, insaanon ki queemat kuchh bhi nahin Insaanon ki izzat jab jhooTHe sikkon me na toli jaaegi Woh subah kabhi to aaegi From "Woh subah kabhi to aaegi...." (Phir Subah Hogi) 27. Sukh ki kaliyaan, dukhe ke kaanTe, man sabka aadhaar Man se koi baat chhupe na, man ke naen hazaar Jag se chaahe bhaagle koi, man se bhaag na paae Tora man darpan kehlaae From "Tora man darpan kehlaae..." (Kaajal) 28. Jo dil ki dhaRkanen samjhe, na aankhon ki zubaan samjhe Nazar ki guftagu samjhe, na jazbon ka bayaan samjhe Usike saamne uski, shikaayat ka iraada hai From "Kisi pathhar ki moorat se mohabbat ka iraada hai..." (Hamraaz) 29. Is jeevan ki chaRti DHalti, dhoop ko kisne baandha Rang pe kisne pehre Daale, roop ko kisne baandha Kaahe ye jatan kare From "Man re tu kaahe na dheer dhare...." (Chitralekha) 30. Poochhe koi dard-e-wafa, kaun de gaya Raaton ko jaagne ki saza, kaun de gaya Mushkil ho arz-e-haal, to hum kya jawaab den From "Duniya kare sawaal to hum, kya jawaab den..." (Bahu Begum) 31. Pyaar maanga to sisaskte hue armaan mile Chaen chaaha to umanDte hue toofaan mile Doobte dil ne kinaaron ki tamanna ki thhi From "Main chaand aur sitaaron ki tamanna ki thhi..." (Chandrakanta) 32. Aaj woh baat nahin, phir bhi koi baat to hai Mere hisse me ek, halki si mulaquaat to hai GHair ka hoke bhi, ye husn mere saath to hai Haai kis waqt mujhe kab ka gila yaad aaya Kitne bhoole hue zaqmon ka pata yaad aaya From "Aap aae to quayal-e-dil-e-naashaad aaya..." (Gumraah) 33. Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin Tum kisi aur ko chaahogi to mushkil hogi Ab agar mel nahin hai, to judaai bhi nahin Baat toRi bhi nahin, tumne banaai bhi nahin Ye sahaar hi bahut hai, mere jeene ke lie Tum agar meri nahin ho, to paraai bhi nahin Mere dil ko na saraao to koi baat nahin GHair ke dil ko saraaogi, to mushkil hogi From Dil Hi To Hai 34. Bujhi bujhi si nazar me teri talaash lie BhaTakte phirte hain, hum aap apni laash lie Yahai junoon yehi wehshat ho, aur tu aae KHuda kareke quayaamat ho, aur tu aae From "Hum intezar karenge tera quayaamat tak..." (Bahu Begum) 35. Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshquadmi se Mujhe bhi log kehte hain, ke ye jalwe paraae hain Mere humraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saae hain From "Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaen hum dono..." (Gumraah) 36. Sansaar ki har ek besharmi, GHurbat ki godh me palti hai Chaklon me hi aake rukti hai, faaquon me jo raah nikalti hai Mardon ki hawas hai jo aksar, aurat ke paap me DHalti hai From "Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use baazaar diya.." (Sadhana) 37. Kal aur aaenge naGHmon ki, khilti kaliyaan chun-ne waale Mujhse behtar kehne waale, tumse behtar sun-ne waale From "Main pal do pal ka shaaer hun...." 38. Log kehte hain ke hum tumse kinaara karlen Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen Ab to phir tumse mulaquaat nahin hone ki Mil bhi jaao to koi baat nahin hone ki Aaqri baar faqat, zikr tumhaara karlen Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen Aaqri baar quayaalon me la len tumko Aaqri baar kaleje se laga len tumko Aur phir apne taRapne ka nazaara karlen Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen From Bahu Begum 39. Yeh chamanzaar, yeh jamuna ka kinaara, yeh mahal Yeh munakkash dar-o-deewar yeh mehraab yeh taj Ek shahenshah ne daulat ka sahaara lekar Hum gareeboN ki muhabbat ka uDaaya hai mazaaq From "Mere mehboob kahin aur milakar mujhse..." (GHazal) 40. Tum na jaane kis jahaan me kho gae Hum bhari duniya me tanha ho gae From Jailor 41. Yunhi dil ne chaaha thha rona rulaana Teri yaad to ban, gaee ek bahaana From Dil Hi To Hai 43. Ye mehlon, ye taqton ye taajon ki duniya Ye insaan ke dushman, samaajon ki duniya Ye daulat ke bhooke rawaajon ki duniya Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai 44. Jahaan ek khilona hai insaan ki hasti Ye basti hai murda paraston ki basti Jahaan jeevan se hai maut sasti Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai From Pyaasa 44. Tanha na kaT sakenge jawaani ke raaste Pesh aaegi kisiki zarurat kabhi kabhi Phir kho na jaaen hum kahin, duniya ki bheeR me Milti hai paas aane ki mauhlat kabhi kabhi From "Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi..." (Aankhen) 45. BichhaRgaya har saathi dekar pal do pal ka saath Kisko fursat hai jo thhaame diwaanon ka haath Humko apne saaya tak, aksar bezaar mila Humne to jab kaliyaan maangi, kaanTon ka haar mila From "Jaane woh kaise log thhe jinke, pyaar ko pyaar mila..." (Pyaasa) 46. Hum jurm-e-mohabbat ki saza paaenge tanha Jo tujhse hui ho woh quata saath lie ja Tapti hui raahon se, tujhe aanch na pahunche Diwaane ke ashkon ki, ghaTa saath lie ja From "Barbaad mohabbat ki dua saath lie ja..." (Laila Majnu, new) 47. Sansaar se bhaage phirte ho, Bhagwaan ko tum kya paaoge Is lok ko bhi apna na sake, us lok me bhi pachtaaoge From Chitralekha 48. Bhoole se mohabbat kar baiTHa, naadaan thha bechara dil hi to hai Har dil se quata ho jaati hai, bigRo na KHudaara dil hi to hai Is tarha nigaahen mat phero, aisa na ho dhaRkan ruk jaae Seene me koi pathhar to nahin, ehsaas ka maara dil hi to hai Bedaadgaron (?) ki THokar se, sab KHwaab suhaane choor hue Ab dil ka sahaara GHam hi to hai, ab GHam ka sahaara dil hi to hai 49. Ilm nahin thha itni jaldi, quatm fasaane ho jaenge Tum begaane ban jaaoge, hum diwaane ho jaaenge Kal baahon ka haar mila thha, aaj ashkon ka haar pukare From "Aaja aaja re, tujhko mera pyaar pukaare..." (Gumraah) 50. Taaruf rog ho jaae to usko bhoolna behtar Taaluq bojh ban jaae to usko toRna achha Woh afsaana jise anjaam tak, laana na ho mumkin Use ek KHoobsoorat moR dekar, chhoRna achha From "Chalo ek baar phirse, ajnabi ban jaaen hum dono..." (Gumraah) Sami Mohammed (A Naushad fan).... and a Sahir FANdamentalist!