Article: 29094 of rec.music.indian.misc Path: Lehigh.EDU!Lehigh.EDU!sm0e From: sm0e@Lehigh.EDU (SAMIUDDIN MOHAMMED) Newsgroups: rec.music.indian.misc Subject: SHAKEEL BADAYUNI: Melody.txt II Date: 13 Jul 1995 03:43:47 GMT Organization: Lehigh University Lines: 498 Distribution: world Message-ID: <3u24pj$fmq@fidoii.cc.lehigh.edu> NNTP-Posting-Host: ihd117b.cc.lehigh.edu Keywords: Shakeel Badayuni, lyrics **** SHAKEEL BADAYUNI: Melody.txt [II} **** The Naushad/Shakeel Badayuni combo gave us the most melodius songs ever. This highly successful partnership started way back in 1947 in the Kardar Productions film Naatak in which Shakeel shared the lyricist's job with Khumaar Barabanqui and Majrooh Sultanpuri. Majrooh and Khumaar had already scored a hit with Naushad in the Saigal movie Shahjehan. Although the Naushad/Majrooh team triumphed once again in Mehboob's Andaz, they were not destined to work together again until about two decades later in Saathi. It was in the 1947 movie Dard (with the Uma Devi hits "Betaab hai dil..." and "Afsaana likh rahi hun..") that Shakeel was the sole lyricist for the first time in a Naushad movie. From Dard to Sunghursh, this team churned out hundreds of melodies over a span of 2 decades. Shakeel's songs consisted mostly of GHazals and 3-line stanzas in which the first two lines rhymed with each other and the third line contained the rhyming structure of the entire song. He also penned some quawwalis and those sweetly rhyming chorus songs for which Naushad is well known ("Aaj mere man me sakhi...", "More saiyyanji utrenge paar ho...", "Matwaala jiya Dole piya..." etc.) In one of his interviews, Naushad mentioned that he would often lend a helping hand to Shakeel while composing songs in local dialect such as "Naen laRjai ho manwama kaska hoibe kari..." or "Do hanson ka joRa bichhaR gayo re.." Shakeel covered the entire range from romantic songs to sentimental numbers to dard-bhare naGHme. In part II of this article, I am listing some of the beautiful lines composed by Shakeel Badayuni, taken from various Naushad films. Some of his songs with other music directors are also included at the end. I am also including the first line of each song. This will help you appreciate the rhyming pattern in all his songs. Most of the GHazals are present in their entire form. A majority of the songs that I have included here are not present in the ISB yet. Hope all of you will enjoy them. It *is* is a long post, and you are advised to take a print-out and enjoy the lyrics at your leisure. Sami Mohammed (A Naushad fan)... FINALLY fulfilling his promise to Abhay! :-) I'd like to first start with what might be called Shakeel's most famous GHazal made immortal by the great Begum Aqtar. Kya kalaam hai! Ai mohabbat tere anjaam pe rona aaya Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thhi Aaj kuchh baat hai, jo shaam pe rona aaya Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka "Shakeel" Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya Air mohabbat tere anjaam pe rona aaya... I'll now move on to songs from Naushad films and then some songs of other MD's. **** SONGS FROM NAUSHAD FILMS **** DARD 1. Haasil hai yun to mujhko zamaane ke daulaten Lekin naseeb laai hun ek sogwaar ka (Afsaana likh rahi hun, dil-e-beqaraar ka...) ANOKHI ADA 2. Woh karlete to honge dil pe KHaabu Unhe ye bhi kamaal aata to hoga (Kabhi dil dil se Takraata to hoga, unhe mera quayaal aata to hoga...) MELA 3. Ye zindagi ke mele duniya me kam na honge Afsos hum na honge Duniya hai mauj-e-dariya, quatre ki zindagi kya Pani me milke pani anjaam ye ke pani Dam bhar ko saans lele (Ye zindagi ke mele duniya me kam na honge...) DILLAGI 4. Laakh balaaen TooTe magar, bhool sakenge unko na hum Aur baRegi unki mohabbat, jitne bhi honge zulm-o-sitam Koi bataade diwaanon ko humko miTaana khel nahin (Is duniya me ai dilwaalo dil ka lagana khel nahin...) BABUL 5. KHushi ke saath duniya me hazaaron GHam bhi hote hain Jahaan bajti hai shehnaai, wahan maatam bhi hote hain Quismat ne kie woh dil pe sitam, do chaahnewaale mil na sake Kehne ko bahaar aai thhi magar, do phool KHushi ke khil na sake Armaanon ka gulshan ujaR gaya, barbaad jawaani ho gaee Lo quatm kahani ho gaee (Mera jeevan sathi bichhaR gaya lo quatm kahani ho gaee..." 6. Duniya badal gaee meri duniya badal gaee TukRe hue jigar ke, chhuri dil pe chal gaee Duniya badal gaee meri duniya badal gaee Aisi chali hawa ke, KHushi dukh me DHal gaee (I have always wondered why Shakeel used "dukh" instead of "GHam" here) Dil KHaak ho gaya ye kisiko quabar nahin Sab ye samajh rahen hain tamanna nikal gaee Barbaad ho gaya meri ummeed ka chaman Jis Daal par kiya thha basera woh jal gaee (Duniya badal gaee, meri duniya badal gaee....) DEEDAR 7. Lambe hain jeevan ke raste, aavo chalen hum hanste hanste (Ho, bachpan ke din bhula na dena...) AAN 8. Dil me chhupaake pyaar ka toofaan le chale Hum aaj apni maut ka saamaan le chale MiT-ta hai kaun dekhie ulfat ki raah me Woh le chale hain aan to hum jaan le chale Manzil pe hoga faisla quismat ke khel ka Karde jo dil ka KHoon woh mehmaan le chale (Dil me chhupake pyaar ka toofan le chale...) 9. Tujhe kho diya humne paane ke baad Teri yaad aaee, tere jaane ke baad Teri yaad aaee... Mila thha na jab tak judaai ka GHam Mohabbat ka matlab na samjhe thhe hum TaRapne lage teer khaane ke baad Teri yaad aaee, tere jaane ke baad Teri yaad aaee... Nigaahon me ab tu samaane laga Tera naam honTon pe aane laga Hue hum tere ek zamaane ke baad Teri yaad aaee, tere jaane ke baad Teri yaad aaee... Mohabbat mili aur tu kho gaya Badalte hi quismat ye kya ho gaya KHushi chhin gaee dil lagaane ke baad Teri yaad aaee, tere jaane ke baad Teri yaad aaee... (Tujhe kho diya humne paane ke baad....) DIWANA 10. Teer khaate jaaenge aansu bahaate jaaenge Zindagi bhar apni quismat aazmaate jaaenge Dil ka sheesha toRnewaale kie ja tu sitam Apni barbaadi ka shikwa lab pe na laaenge hum Tu jo GHam dega kaleje se lagate jaaenge Be-asar hote nahin aansu kisi naakaam ke Tujhko bhi rona paRega ek din dil thhaam ke Dard bankar hum tere dil me samaate jaaenge (Teer khaate jaaenge, aansu bahaate jaaenge...) BAIJU BAWRA 11. Kyun tumne bichhae hain yahan zulm ke Dere Dhan saath na jaaega bane kyun ho luTere Pite ho GHaribon ka lahu shaam savere KHud paap karo naam ho shaitaan ka badnaam (Insaan bano karlo bhalaai ka koi kaam...) 12. Dil ko die kyun dukh birha ke ToR diya kyun mahal banake Aas dilake, O bedardi Pherli kaahe najariya (Mohe bhool gae sanwariya...) SHABAAB (My fav. Naushad movie!!) 13. Mehlon me rehnewaale hume, tere dar se kya Nagri hai dil ki pyaari hume, oonche ghar se kya O denewaalo humko na daulat ki bheekh do Jholii hai dilki quaali mohabbat ki bheekh do Bhooke hain ek nazar ke hume, maal-o-dar se kya ChhoTa baRa na koi baraabar hai sab yahaan Paida kiya hai jisne usika hai ye jahaan Uska hi aasra hai hume, duniya bhar se kya Zillat se hire moti bhi Maalik quasam na len Nafrat se gar mile to mohabbat bhi hum na len Izzat se jo na dekhe hume, us nazar se kya (Mehlon me rehnewaale hume tere dar se kya...) 14. Aao ke tum bin aankh me dam hai Raat hai lambi jeevan kam hai Dekhlun tumko main jee bhar ke (Aae na baalam waada karke...) 15. Marna teri gali, marna teri gali me Jeena teri gali me, marna teri gali me Aaen hai tere dar pe hum zindagi luTaane Tu dekhe ya na dekhe, tu jaane ya na jaane Poora karenge hum to, waada teri gali me Marna teri gali me... Dil se teri mohabbat kam umr bhar na hogi Hum tujhpe mar miTenge tujhko quabar na hogi Marne ke baad hoga charcha teri gali me Marna teri gali me... 16. Mar gae hum jeete jee Maalik tere sansaar me Chal diya humko khewaiyya, chhoRke majdhaar me Maalik tere sansaar me Unka aana unka jaana khel thha taqdir ka KHwaab thhe woh zindagi ke din jo guzre pyaar me Maalik tere sansaar me... Le gae woh saath apne saaz bhi aawaaz bhi Reh gaya naGHma adhura dil ke TooTe taar me Maalik tere sansaar me... (Mar gae hum jeete jee Maalik tere sansaar me...) AMAR 17. Maayus na ho haarke taqdir ki baazi Pyaara hai woh GHam jisme ho Bhagwaan bhi raazi Dukh dard mile jisme wohi pyaar amar hai (Insaaf ka mandir hai ye, Bhagwaan ka ghar hai...) 18. Umangon ko sakhi pi ki nagariya kaise le jaaun Kamar lachke mori bhaari gagariya kaise le jaaun (Nice simile) 19. KaanTon me daaman uljhe na saajna phoolon me hanskar guzaar ThoRi KHushi hai thoRi hansi hai, dukh zindagi me hazaar (Tere sadque balam na kar koi GHam, ye sama ye jahaan phir kahaan..) 20. Tamanna luT gaee phir bhi tere dam se mohabbat hai Mubarak GHair ko KHushiyaan mujhe GHam se mohabbat hai Na milta GHam to barbaadi ke afsaane kahan jaate Agar duniya chaman hoti, to veeraane kahan jaate Chalo achha hua apnon me koi GHair to nikla Agar hote sabhi apne to begaane kahan jaate Duaaen do mohabbat humne miTkar tumko sikhlaadi Na jalti shamma mehfil me, to parwaane kahana jaate Tumhine GHam ki daulat di baRa ehsaan farmaaya Zamaane bhar ke aage haath phehlaane kahaan jaate 21. Na shikwa hai koi, na koi gila hai Salamat rahe tu, ye meri dua hai Ajab teri mehfil me dekha tamaasha Kahin roshni hai, kahin hai andhera Muquaddar chiraaGHon ke badle hue hain Koi bujh raha hai, koi jal raha hai Mubarak tujhe ho tere dil ki duniya Meri zindagi ka koi GHam na karna Ye sab gardishen hai naseebon ke pyaare Na teri quata hai, na meri quata hai (Na shikwa hai koi na koi gila hai, salaamat rahe tu ye meri dua hai...) 22. Jaanewaale se mulaquaat na hone paee Dilki dil hi me rahi baat na hone paee Dil me toofan uTHe phir bhi zubaan khul na saki Badliyaan chha gaee barsaat na hone paee Chandni ho naki chand ne mun pher liya Jiska armaan thha woh raat na hone paee 23. KHamosh hai khewanhaar mere nayya meri doobi jaati hai Zinda hun magar ab jeene ki ummeed bhi TooTi jaati hai UDAN KHATOLA 24. Mohabbat ki raahon me, chalna sambhal ke Yahaan jo bhi aaya, gaya haath malke Na paee kisine bahaaron ki duniya Quadam Dagmagaae zara door chalke Hume DHoondti hai bahaaron ki duniya Kahan aa gae hum chaman se nikalke Kahin TooTjaae na hasrat bhara dil Na yun teer phenko nishaana badalke 25. Haal-e-dil main kya kahun, mushkil hai mere saamne Bhole bhaale roop me, quaatil hai mere saamne Meri ummeedon ki kashti paar ho jaane bhi de Rukja ai toofan tu, saahil hai mere saamne Josh kehta hai ke chal aur hosh kehta hai sambhal Kiska kehna maanlun, manzil hai mere saamne (Haal-e-dil main kya kahun, muskhil hai mere saamne...) 26. Chale aaj tum jahaan se, hui zindagi paraee Tumhe mil gaya THikaana, hume maut bhi na aaee O door ke musafir, humko bhi saath lele re Humko bhi saath lele, hum reh gae akele Tune woh de diya GHam, be-maut mar gae hum Dil uTH gaya jahaan se, le chal hume yahaan se Kis kaam ki ye duniya jo zindagi se khele re Humko bhi saath le, hum reh gae akele Sooni hai dil ki raahen, KHamosh hain nigaahen Naakaam hasraton ka, uTHne ko hai janaaza Chaaro taraf lage hain, barbaadion ke mele re Humko bhi saath le, hum reh gae akele (O door ke musafir humko bhi saath lele re....) MOTHER INDIA 27. Aurat hai woh aurat jise duniya ki sharam hai Sansaar me bas laaj hi naari ka dharam hai Zinda hai jo izzat se woh izzat se marega (Duniya me hum aaen hain to jeena hi paRega...) SON OF INDIA 28. Bechain udhar tu hai, to majboor idhar hum BaiTHe hain chhupaae hue, ashkon me tera GHam Har choT ubhar aaee hai, har zaqm hara hai (Dil toRnewaale, tujhe dil DHoonDH raha hai...) MERE MEHBOOB 29. Paas rehte hue bhi tujhse bahut door hain hum Quissa-e-dard sunaate hain ke majboor hain hum (Tere pyaar me dildaar jo hai mera haal-e-zaar...) 30. Yaad hai mujhko mere umr ki pehli woh ghadi Teri aankhoN se koi jaam piya thha maine Meri rag-rag me koi barkh si lehr aayi thi Jab tere marmari haaton ko chhua tha maine Aa mujhe phir unhi haaton ka sahaara dede Mera khoya hua rangeeN nazaara dede (Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki quasam...) 21. Tere afsaanon me meri jaan hai jhalak meri afsaanon ki Dastaanen hain milti hui Allah hum dono parwaanon ki Ek hi shamma ho na kahin woh toh laakhon me hai ek haseen, ek haseen (Mere mehboob me kya nahi...) 22. Kya kahen tujhse kyun hui doori, ham samajhte hain apni majboori Tujhko maloom kya ke tere liye dil ke GHam aansuon me DHalte hain (Yaad me teri jaag-jaag ke ham raat bhar karwaten badalte hain...) 23. Saaz-e-dil-e-khaamosh me ek soz jagaa de Tu bhi meri awaaz me awaaz mila de Aaya hoon tere dar pe baDi aas lagaaye (Ai husn zara jaag tujhe ishq jagaae...) LEADER 24. Kya chalegi zulm ki ahd-e-wafa ke saamne Aa nahin sakta koi shola hawa ke saamne Laakh faujen leke aae amn ka dushman koi Tik nahin sakta humari ekta ke saamne Hum woh pathhar hain jise dushman hila sakte nahin (Apni aazaadi ko hum hargiz miTa sakte nahin...) DIL DIYA DARD LIYA 25. Koi saaGHar dil ko behlaata nahin Bequdi me bhi quaraar aata nahin Main koi pathhar nahin insaan hun Kaise kehdun GHam se ghabrata nahin Kal to sab thhe kaarwaan ke saath saath Aaj koi raah dikhlaata nahin Zindagi ke aaine ko toRdo Isme ab kuch bhi nazar aata nahin 26. Guzre hain aaj ishq me hum us muquaam se Nafrat si ho gaee hai mohabbat ke naam se RAM AUR SHYAAM 27. Ye raat jaise dulhan ban gaee charaaGHon se Karunga aur ujaala main dil ke daaGHon se (Aaj ki raat mere dil ki salaame lele...) AADMI 28. TooT chuke sab pyaar ke bandhan aaj koi zanjeer nahin Sheesha-e-dil me armaanon ki aaj koi tasvir nahin Ab shaad hun main, aazaad hun main Kuchh kaam nahin hai aahon se (Aaj puraani raahon se, koi mujhe aawaaz na de...) 29. O denewaale tune to koi kami na ki Ab kisko kya mila ye muquaddar ki baat hai **** SONGS OF OTHER MD'S **** LAILA MAJNU 1. Aasmaanwaale teri duniya se jee ghabragaya Chaar din ki chandni me, GHam ka baadal chha gaya Aasmaanwaale teri duniya se jee ghabragaya Chal gaya dil soz-e-GHam se, jab koi yaad aa gaya Aag me phoolon ki duniya me mera tan rakh diya Ek murde ko sajakar, naam dulhan rakh diya Bol Maalik ye tamaasha tujse kyun dekha gaya Kis qudar naashaad hoon, barbaad hoon, veeraan hoon Rehm kar mujh par Khudaya, main bhi ek insaan hun Maut hi dede ke ab, shikwa zubaan par aa gaya (Aasmaanwaale teri duniya se jee ghabragaya...) DO BADAN 2. Raha gardishon me har dam mere ishq ka sitaara Kabhi Dagmagaee kashti, kabhi kho gaya kinaara Koi dil ke khel dekhe, ke mohabbaton ki baazi Woh quadam quadam pe jeete, main quadam quadam pe haara Ye humari badnaseebi, jo nahin to aur kya hai Ke usike ho gae hum, jo na ho saka humaara PaRe jab GHamon se paale, rahe miTke miTnewaale Jise maut ne na poochha, use zindagi ne maara (Raha gardishon me har dam mere ishq ka sitaara...) 3. Bhari duniya me aaquir dil ko samjhaane kahan jaaen Mohabbat ho gaee jinko, woh diwaane kahan jaaen Lage hain shamma par pehre zamaane ki nigaahon ke Jinhe jalne ki hasrat ho, woh parwaane kahan jaaen Sunaana bhi jinhe mushkil chhupaana bhi jinhe mushkil Zara tu hi bata ai dil, woh afsaane kahan jaaen Nazar me uljhane dil me hai aalam bequaraari ka Samajhme kuchh nahin aata, woh toofanen kahan jaaen (Bhari duniya me aaquir dil ko samjhaane kahan jaaen...) 4. Tujhe bhulaane ki koshishen bhi tamaam naakaam ho gaee hain Kisine zikr-e-wafa kiya jab, zubaan pe tera hi naam aaya (Naseeb me jiske jo likha thha...) ZINDAGI AUR MAUT 4. Dil lagakar hum ye samjhe zindagi kya cheez hai Ishq kehte hain kise aur aashiqui kya cheez hai (the Asha version) Baad muddat ke mile to is tarah dekha idhar Jis tarah ek ajnabi par ajnabi Daale nazar Aapne ye bhi na soncha dosti kya cheez hai Dil lagakar hum ye samjhe zindagi kya cheez hai Pehle pehle aap hi apna bana baiTHe hume Phir na jaane kis lie dil se bhula baiTHe hume Ab hua maalum humko beruqui kya cheez hai Dil lagakar hum ye samjhe zindagi kya cheez hai GHARANA 5. Teri surat jo dekhle shaer, apne sheron me taazgi bharle Ek musavvir jo tujhko paa jaae, apne KHwaabon me zindagi bharle NaGHmagar DHoonDle agar tujhko, dard bharle woh dil ke taaron me (Husnwaale tera jawaab nahin...) Sami Mohammed (A Naushad fan).... WHEW!! That was long! _______________________________________________________________________________ Sleep is a photocatalytic reaction; it requires sunlight! (The graveyard shift Chemical Engineers Handbook) _______________________________________________________________________________