% ITRANS Song # % \startsong \stitle{jisake sapane hame.n roz aate rahe ... kahii.n tum wahii to nahii.n }% \film{Geet }% \year{1970 }% \starring{ }% \singer{Lata, Mahendra Kapoor }% \music{Kalyanji-Ananadji }% \lyrics{Anand Bakshi }% % % Tags:
% Audio on:
% Contributor: Ricky % Transliterator: Vinay P Jain % Editor: Vinay P Jain % Date: 13 Aug 2024 % Series:
% Comments:
% generated using www.giitaayan.com % \printtitle #indian %
jisake sapane hame.n roz aate rahe, dil lubhaate rahe
ye bataa do, bataa do
ye bataa do, kahii.n tum wahii to nahii.n, wahii to nahii.n
jab bhii jharano.n se mai.nne sunii raaganii
mai.n ye samajhaa tumhaarii paayal bajii
o jisakii paayal pe ham dil luTaate rahe, jaa.N luTaate rahe
ye bataa do, kahii.n tum wahii to nahii.n, wahii to nahii.n
jisake roz roz giit ham gaate rahe, gunagunaate rahe
ye bataa do, kahii.n tum wahii to nahii.n, wahii to nahii.n
jab bhii Tha.nDii hawaa gunagunaatii chalii
mai.n ye samajhii tumhaarii muralii bajii
jisakii muralii pe ham laharaate rahe, bal khaate rahe
ye bataa do, kahii.n tum wahii to nahii.n, wahii to nahii.n
ye mahakate bahakate hue raaste
khul gae aap hii pyaar ke waaste
de rahii hai.n pataa madabharii waadiyaa.N
jaise pahale bhii ham tum mile ho.n yahaa.N
o kitane janmo.n se jisako bulaate rahe, aajamaate rahe
ye bataa do, kahii.n tum wahii to nahii.n, wahii to nahii.n ...
% #endindian \endsong
|