giitaayan An Interface to ISB

agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa - Kaajal (1965)  

Lyrics: Sahir | Music: Ravi | Singer(s): Asha, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
mahe.ndra: agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa ki dil kii raah se hokar Kushii nahii.n guzarii aashaa: agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii ki sirf umr kaTii zi.ndagii nahii.n guzarii aashaa: fizaa me.n ra.ng nazaaro.n me.n jaan hai tumase mere li_e ye zamii.n aasamaan hai tumase Kayaal-o-Kvaab kii duniyaa javaan hai tumase, javaan hai tumase agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii ki Kvaab Kvaab rahe bekasii nahii.n guzarii mahe.ndra: agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa ki dil kii raah se hokar Kushii nahii.n guzarii mahe.ndra: ba.De yaqiin se mai.nne ye haath maa.Ngaa hai aashaa: merii vafaa ne hameshaa kaa saath maa.Ngaa hai mahe.ndra: dilo.n kii pyaas ne aab-e-hayaat maa.Ngaa hai dono.n: dilo.n kii pyaas ne aab-e-hayaat maa.Ngaa hai aashaa: agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii ki i.ntazaar kii muddat abhii nahii.n guzarii mahe.ndra: agar mujhe na milii tum to mai.n ye samajhuu.Ngaa aashaa: agar mujhe na mile tum to mai.n ye samajhuu.Ngii dono.n: ki sirf umr kaTii zi.ndagii nahii.n guzarii
The song was contributed by Amarendra R Nargundkar on 11.03.2010 16:07:56.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.