giitaayan An Interface to ISB

arzii hamaarii ye marzii hamaarii - Naukri (1954)  

Lyrics: Shailendra | Music: Salil Chowdhury | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
Diyar sar, sevaa me.n nivedan hai \threedots arzii hamaarii, ye marzii hamaarii jo soche binaa Thukaraaoge dekho ba.De pachhataaoge dil bhii hamaaraa bachaa na bechaaraa to kis pe ye tiir chalaaoge sunaa hai aap ke yahaa.N koii jagah khaalii hai \threedots dekhe hai.n tumhaare sapane sochii hai.n tumhaarii baate.n dekhaa hai vo chandaa jab se aa.Nkho.n me.n guzaarii.n raate.n rum jhum man me.n dhuum machaa ke haule haule haule haule aake ye aag lagaa ke jo aur kahii.n chale jaaoge dekho jii ba.De pachhataaoge ## as for my qualifications, certificates ## saath hai.n \threedots jal jal ke ye dil nikharaa hai jyo.n aag se nikhare sonaa ham chho.D chuke hai.n kab se taqadiir kaa ronaa dhonaa man me.n ummiid ke diip jalaa ke jhil mil jhil mil taare ye dil ke sahaare jo parde inhii.n pe giraaoge dekho ba.De pachhataaoge
The song was contributed by Vijay Kumar K on 29.01.2011 15:00:44.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.