giitaayan An Interface to ISB

aapakaa Khat milaa, aapakaa shukriyaa - Sharda (1981)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aap kaa khat milaa aap kaa shukriyaa aap ne yaad mujh ko kiyaa, shukriyaa, shukriyaa aap kaa khat milaa, shukriyaa, shukriyaa aap ne yaad mujh ko kiyaa, shukriyaa, shukriyaa pyaar me.n yaad karanaa hii kaafii nahii.n (2) aap kii bhuul qaabil-e-maafii nahii.n ki ruuTh jaaye.nge ham, phir manaanaa sanam yuu.N kaTaa aap bin ek chhoTaa-saa din jaise ik saal thaa dil kaa vo haal thaa aap ko kyaa Kabar, kyaa hai dard-e-jigar bas fasaanaa koii, ik bahaanaa koii likh ke kaaGaz pe bhej diyaa shukriyaa, shukriyaa aap likhate hai.n milane kii fur_sat nahii.n (2) chho.Diye berukhii hai ye ulfat nahii.n ham ko thaa intazaar dil rahaa beqaraar shaam tak ham rahe raastaa dekhate thak gayii jab nazar tab milii ye Kabar aap aaye nahii.n kaam thaa kuchh kahii.n par hame.n Gam nahii.n ye bhii kuchh kam nahii.n dil ke badale lifaafaa milaa shukriyaa, shukriyaa
The song was contributed by Vijay Kumar K on 09.05.2011 15:46:34.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.