giitaayan An Interface to ISB

mahalo.n me.n rahane waale hame.n tere dar se kyaa - Shabaab (1954)  

Lyrics: Shakeel Badayuni | Music: Naushad | Singer(s): Rafi, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
mahalo.n me rahane waale hame.n tere dar se kyaa mahalo.n me rahane waale hame.n tere dar se kyaa nagarii hai apanii pyaarii hame.n unake ghar se kyaa mahalo.n me.n rahane waale chhoTaa baRaa naa koii, baraabar hai sab yahaa.N chhoTaa baRaa naa koii, baraabar hai sab yahaa.N paidaa kiyaa hai jisane, usii kaa hai ye jahaa.N paidaa kiyaa hai jisane, usii kaa hai ye jahaa.N usakaa hii aasaraa hai hame.n, duniyaa bhar se kyaa usakaa hii aasaraa hai hame.n, duniyaa bhar se kyaa mahalo.n me.n rahane waale o dene waalo.n hamako naa daulat kii bhiikh do o dene waalo.n hamako naa daulat kii bhiikh do jholii hai dil kii khaalii, muhabbat kii bhiikh do jholii hai dil kii khaalii, muhabbat kii bhiikh do bhuukhe hai.n is nagar ke hame.n maal-o-dar se kyaa bhuukhe hai.n is nagar ke hame.n maal-o-dar se kyaa mahalo.n me.n rahane waale jillat ke hiire-motii bhii maalik qasam naa le.n jillat ke hiire-motii bhii maalik qasam naa le.n nafarat se gar mile to muhabbat bhii ham naa le.n, nafarat se gar mile to muhabbat bhii ham naa le.n, ijzat se jo na dekhe hame.n, us nazar se kyaa ijzat se jo na dekhe hame.n, us nazar se kyaa mahalo.n me.n rahane waale
The song was contributed by Sagar Chand Nahar on 22.07.2013 03:37:49.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.