giitaayan An Interface to ISB

har cheharaa yahaa.N chaa.Nd to har zarraa sitaaraa - Aabroo (1968)  

Lyrics: G S Rawal | Music: Sonik-Omi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
har cheharaa yahaa.N chaa.Nd to har zarraa sitaaraa ye vaadii-e-kashmiir hai ( jannat kaa nazaaraa ) -2 har cheharaa yahaa.N ... ha.Nsatii hai.n jo kaliyaa.N to hasii.n phuul hai.n khilate hai.n log yahaa.N jaise utar aa_e farishte har dil se nikalatii hai yahaa.N pyaar kii dhaaraa ye vaadii-e-kashmiir ... ye choTiyaa.N barafo.n kii hai.n aazaadii kaa paracham ha.Nsatii hai Gulaamii pe ye inasaan kii haradam detii hai aakaash ko baa.Nho.n kaa sahaaraa ye vaadii-e-kashmiir ... din-raat havaa saaj bajaatii hai suhaane nadiyo.n ke labo.n par hai.n muhabbat ke taraane mastii me.n hai Duubaa hu_aa behosh kinaaraa ye vaadii-e-kashmiir ... ye jalavaa-e-ra.ngii.n hai kisii Kvaab kii taabiir yaa phuulo.n me.n baiThii hu_ii dulhan kii hai tasviir yaa tham gayaa chalataa hu_aa pariyo.n kaa shikaaraa ye vaadii-e-kashmiir ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.