giitaayan An Interface to ISB

chaahe nainaa churaa_o ... pyaar ho ke rahegaa - Aas (1953)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Talat 
View in Nagari (Hindi)
ta : chaahe nainaa churaa_o chaahe daaman bachaa_o pyaar ho ke rahegaa -2 la : chaahe nainaa churaa_o chaahe daaman bachaa_o pyaar ho ke rahegaa -2 do : chaahe nainaa churaa_o ta : are ye anajaane raaste ye nagarii anajaanii la : ho ye anajaane raaste ye nagarii anajaanii ta : are is chakkar se naa bache kyaa GYaanii kyaa dhyaanii la : ho is chakkar se naa bache kyaa GYaanii kyaa dhyaanii ta : tum in pyaar kii galiyo.n se chaahe bach-bach ke jaa_o pyaar ho ke rahegaa -2 do : chaahe nainaa churaa_o ta : are is duniyaa kii bhii.D me.n aa_oge akele la : ho is duniyaa kii bhii.D me.n aa_oge akele ta : are aate hii lag jaaye.nge aramaano.n ke mele ta : ho aate hii lag jaaye.nge aramaano.n ke mele ta : man ke raajamahal me.n chaahe parade giraa_o pyaar ho ke rahegaa -2 do : chaahe nainaa churaa_o ta : are kahane ko to pyaar pe marataa hai zamaanaa la : ho kahane ko to pyaar pe marataa hai zamaanaa ta : are lekin apanii haar se Darataa hai zamaanaa la : ho lekin apanii haar se Darataa hai zamaanaa ta : tum ye pyaar kaa taraanaa chaahe gaa_o na gaa_o pyaar ho ke rahegaa -2 do : chaahe nainaa churaa_o
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.