giitaayan An Interface to ISB

ye shamaa to jalii roshanii ke li_e - Aya Sawan Jhoom Ke (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ye shamaa to jalii roshanii ke li_e is shamaa se kahii.n aag lag jaa_e to ye shamaa kyaa kare ye havaa to chalii saa.Ns le har ko_ii ghar kisii kaa uja.D jaa_e aa.Ndhii me.n to ye havaa kyaa kare chal ke puurab se ThaNDii havaa aa ga_ii uTh ke parvat ke kaalii ghaTaa chhaa ga_ii ye ghaTaa to uThii pyaas sabakii bujhe aashiyaa.N pe kisii ke girii.n bijaliyaa.N to ye ghaTaa kyaa kare ye shamaa to jalii ... puuchhataa huu.N mai.n sabase ko_ii de javaab naaKudaa kii bhalaa kyaa Kataa hai janaab naaKudaa le ke saahil ke jaanib chalaa Duub jaa_e safiinaa jo ma.Njhadhaar me.n to naaKudaa kyaa kare ye shamaa to jalii ... vo jo ulajhan sii tere Kyaalo.n me.n hai vo ishaaraa bhii mere savaalo.n me.n hai ye nigaah to milii dekhane ke li_e par kahii.n ye nazar dhokhaa khaa jaa_e to ye nigaah kyaa kare ye shamaa to jalii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.